Mil Mujh Se Ai Pari Tujhe Quran Ki Kasam, Deta Hun Tujh Ko Takht-e-Sulaiman Ki Kasam; Karr-o-Bayon Ki Tujh Ko Kasam Aur Arsh Ki, Jibril Ki Kasam Tujhe Rizwan Ki Kasam! *Karr-o-Bayon: Creations other than human beings |
Kamar Bandhe Hue Chalne Ko Yaan Sab Yaar Baithe Hain; Bahut Aage gaye Baaki Jo Hain Tayaar Baithe Hain! |
Zoph Aata Hai Zoph Aata Hai Dil Ko Thaam To Lo; Boliyo Mat Magar Salaam To Lo; Kaun Kehta Hai Bolo, Mat Bolo; Haath Se Mere Ek Jaam To Lo; Inhin Baaton Pe Lautata Hun Main; Gaali Phir De Ke Mera Naam To Lo; Ek Nigaah Par Bike Hain 'Insha' Aaj; Muft Mein Mol Ek Gulam To Lo! |
Chedne Ka To Mazaa Tab Hai Chedne Ka To Mazaa Tab Hai Kaho Aur Suno; Baat Mein Tum To Khafaa Ho Gaye, Lo Aur Suno; Tum Kahoge Jise Kuchh, Kyun Na Kahega Tum Ko; Chhod Devegaa Bhalaa, Dekh To Lo, Aur Suno; Yahi Insaaf Hai Kuchh Socho To Apne Dil Mein; Tum To Sau Keh Lo, Meri Ek Na Suno Aur Suno; Aafareen Tum Pe Yahi Chahiye Shabash Tumhein; Dekh Rota Mujhe Yun Hansne Lago Aur Suno; Baat Meri Nahin Sunte Jo Akele Mil Kar; Aise Hi Dhang Se Sunaun Ki Suno Aur Suno! |
Jigar Ki Aag Bujhe Jigar Ki Aag Bujhe Jald Jismen Woh Shai Laa; Laga Ke Barf Mein, Saqi, Surahi-e-Mai Laa; Qadam Ko Haath Lagaata Hun, Uth Kahin, Ghar Chal; Khuda Ke Waste, Itne Tau Paaon Mat Phaila; Nikal Ke Wadi-e-Wahshat Se Dekh, Ai Majnun; Ke Zor Dhun Mein Ab Aata Hai Naaqa-E-Laila; Gira Jo Haath Se Farhad Ke Kahin Teesha; Daroon-e-Koh Se Nikli Sada-e-Wavela; Nazakat Uske Mukhre Ki Dekho, Insha; Naseem-e-Subh Jo Chhoo Jaae, Rang Ho Maila! Translation: Surahi-e-Mai = Flak of Wine Wadi-e-Wahshat = Wilds of Frenzy Naaqa-E-Laila = Comes your Laila Sada-e-Wavela = Heard Naseem-e-Subh = Morning Breeze |