Main Bachpan Mein Khilone Todta Tha; Mere Anjaam Ki Wo Ibtida Thi! |
Jidhar Jaate Hain Sab Jaana Udhar Achha Nahin Lagta; Mujhe Pamaal Raston Ka Safar Achha Nahi Lagta! |
Girhen Padi Hain Kis Tarah, Ye Baat Hai Kuch Is Tarah; Woh Dor Tooti Baarha, Har Baar Hum Ne Jod Di! Girhen: Knots Barha: Often |
Yahi Halaat Ibtda Se Rahe: Yahi Halaat Ibtda Se Rahe, Log Humse Khafa-Khafa Se Rahe; Bewafa Tum Kabhi Na The Lekin, Yeh Bhi Sach Hai Bewafa Se Rahe; In Chiragon Mein Tel Hi Kam Tha, Kyon Gila Phir Humein Hawa Se Rahe; Bahas, Shatranj, Sher Mausiki, Tum Nahi Rahe To Yeh Dilaase Rahe; Uske Bando Ko Dekhkar Kahiye, Humko Umeed Kya Khuda Se Rahe; Zindagi Ki Sharab Mangate Ho, Hum Ko Dekho Ki Pee Ke Pyaase Rahe! |
Khush-Shakal Bhi Hai Woh, Ye Alag Baat Hai; Magar Humko Jaheen Log Hamesha Ajeej The! |
Unn Chiraago Mein Tel Hi Kam Tha; Kyon Gila Fir Humein Hawa Se Rahe! |
Sab Hawayein Le Gayaa Mere Samandar Ki Koi; Aur Mujhko Ek Kashti Badvani De Gayaa! |
Dil Mein Mehak Rahe Hain Kisi Aarzoo Ke Phool; Palkon Pe Khilnewale Hain Shayad Lahoo Ke Phool; Ab Tak Hai Koi Baat Mujhe Yaad Harf-Harf; Ab Tak Main Chun Raha Hoon Kisi Guftagoo Ke Phool; Kaliyan Chatak Rahi Thi Ki Aawaz Thi Koi; Ab Tak Sma-Ato Mein Hai Ik Khushguloo Ke Phool; Mere Lahoo Ka Rang Hai Har Noke-Khar Par; Sehra Mein Har Taraf Hai Meri Justaju Ke Phool; Deewane Kal Jo Log The Phoolon Ke Ishq Mein; Ab Unke Daaman Mein Bharein Hain Rafoo Ke Phool! |
Dil Mein Mehak Rahe Hain Dil Mein Mehak Rahe Hain Kisi Aarzoo Ke Phool; Palkon Pe Khilnewale Hain Shayad Lahoo Ke Phool; Ab Tak Hai Koi Baat Mujhe Yaad Harf-Harf; Ab Tak Main Chun Raha Hoon Kisi Guftagoo Ke Phool; Kaliyan Chatak Rahi Thi Ki Aawaz Thi Koi; Ab Tak Sma-Ato Mein Hai Ik Khushguloo Ke Phool; Mere Lahoo Ka Rang Hai Har Noke-Khar Par; Sehra Mein Har Taraf Hai Meri Justaju Ke Phool; Deewane Kal Jo Log The Phoolon Ke Ishq Mein; Ab Unke Daaman Mein Bharein Hain Rafoo Ke Phool! |
Hamaare Shauq Ki Hamaare Shauq Kii Yah Intehaa Thii; Qadam Rakhaa Ki Manzil Raastaa Thii; Bichhad Ke Daar Se Ban Ban Phiraa Voh; Hiran Ko Apnii Kastuurii Sazaa Thii; Kabhii Jo Khwaab Thaa Voh Paa Liyaa Hai; Magar Jo Kho Gayii Voh Chiiz Kyaa Thii; Main Bachpan Men Khilaune Todataa Thaa; Mere Anjaam Kii Voh Ibtidaa Thii; Mohabaat Mar Gayii, Mujhko Bhii Gam Hai; Mere Achchhe Dinon Kii Aashnaa Thii; Jise Chhuu Luun Main Voh Ho Jaaye Sonaa; Tujhe Dekhaa To Jaanaa Bad-Duaa Thii; Mariiz-e-Khwaab Ko To Ab Shafaa Hai; Magar Duniyaa Badil Kadvil Davaa Thii! |