Dil Ne Ek Ek Dukh Saha Tanha; Anjuman Anjuman Raha Tanha; Dhalte Saayon Mein Tere Kooche Se; Koi Guzra Hai Badha Tanha; Teri Aahat Kadam Kadam Aur Main; Is Maiyat Mein Bhi Raha Tanha; Kehana Yaadon Ke Barf-Zaaron Se; Ek Aansu Baha Baha Tanha; Doobte Sahilon Ke Mod Pe Dil; Ik Khandar Sa Raha Saha Tanha; Goonjta Reh Geya Khalaon Mein; Waqt Ka Ek Kehkaha Tanha! |
Dil Ne Ek Ek Dukh Saha Tanha; Anjuman Anjuman Raha Tanha; Dhalte Saayon Mein Tere Kooche Se; Koi Guzara Hai Barha, Tanha; Teri Aahat Kadam Kadam, Aur Main; Us Maiyat Mein Bhi Raha Tanha; Kuhna Yaadon Ke Barf-e-Jaaron Se; Ek Aansu Baha, Baha Tanha; Doobte Sahil Ke Mod Pe Dil; Ek Khandhar Sa Raha Saha, Tanha; Goonjta Reh Geya Khalaon Mein; Waqt Ka Ek Kehkaha, Tanha! |
Ik Umar Dil Kee Ghaat Se Tujh Par Nigaah Kee; Tujh Par Teri Nigaah Se Chhup Kar Nigaah Kee; Roohon Mein Jalti Aag Khayalon Mein Khilte Phool; Saari Sadakatein Kisi Kaafir Nigaah Kee; Jab Bhi Gham-e-Zamana Se Aankhein Hui Do-Chaar; Munh Pher Kar Tabassum-e-Dil Par Nigaah Kee; Baagen Khinchi Masafatein Kadki Faras Ruke; Maazi Kee Rath Se Kis Ne Palat Kar Nigaah Kee; Dono Ka Rabt Hai Meri Mauj-e-Khiram Se; Lagzish Khayal Kee Ho Ke Thokar Nigaah Kee! |
Apne Dil Kee Khoj Mein Kho Gaye Kya-Kya Log; Aansu Tapti Ret Mein Bo Gaye Kya-Kya Log; Kirnon Ke Toofan Se Bajre Bhar-Bhar Kar; Roshniyan Us Ghaat Par Dho Gaye Kya-Kya Log! Saanjh Samay Is Kunj Mein Zindagiyon Kee Aut; Baj Gayi Kya-Kya Bansauri Ro Gaye Kya-Kya Log; Maili Chaadar Taan Kar Is Chaukhat Ke Dwar; Sadiyon Ke Kohraam Mein So Gaye Kya-Kya Log; Gathdi Kaal Rain Kee Sonti Se Latkaye; Apni Dhun Mein Dhyan Nagar Ko Gaye Kya-Kya Log; Meethe Meethe Bol Mein Dohe Ka Hindol; Sun Sun Us Ko Bhanware Ho Gaye Kya Kya Log! |