Jala Ke Mishaal-e-Jaan Hum Junoon-Sifat Chale, Jo Ghar Ko Aag Lagaye Hamare Saath Chale; Dayar-e-Sham Nahi Manzil-e-Sahar Bhi Nahi, Ajab Nagar Hai Yaha Din Chale Na Raat Chale! |
Bahane Aur Bhi Hote Jo Zindagi Ke Liye; Hum Ek Baar Teri Aarzoo Bhi Kho Dete! |
Aah! Jaan Soz Ki Mahrumi-e-Taaseer Na Dekh, Ho Hi Jayegi Jeene Ki Koi Tadbeer Na Dekh; Haadse Aur Bhi Guzre Hain Teri Ulfat Ke Siva, Haan Mujhe Dekh, Ab Meri Tasveer Na Dekh! |
Koi Hum-Dum Na Raha Koi Sahara Na Raha; Hum Kisi Ke Na Rahe Koi Hamara Raha! |
Rehte The Kabhi Jinke Dil Mein; Hum Jaan Se Bhi Pyaaron Ki Tarah; Baithe Hain Unhi Ke Kuche Mein; Hum Aaj Gunahgaron Ki Tarah! |
Sair-e-Sahil Kar Chuke Ai Mauj-e-Sahil Sar Na Mar; Tujh Se Kya Behalenge Toofanon Ke Bahlaaye Hue! |
Dushman Kee Dosti Hai Ab Ahale Vatan Ke Saath, Hai Ab Khijaan Chaman Mein Naye Pairahan Ke Saath; Sar Par Hawaye Zulm Chale Sau Yatan Ke Saath, Apni Kulaah Kaj Hai Usi Baankpan Ke Saath; Kisne Kaha Ki Toot Geya Khanzare Phirang, Seene Pe Zakhme Nau Bhi Hai Daage Kuhan Ke Saath; Jhonke Jo Lag Rahe Hain Naseeme Bahaar Ke, Jumbish Mein Hai Kafas Bhi Aseere Chaman Ke Saath; Majrooh Kaafale Ki Mere Daastaan Ye Hai, Rehbar Ne Mil Ke Loot Liya Raahajan Ke Saath! |
Kis Kis Ko Haaye Tere Taghaaful Kaa De Jawaab, Aksar To Reh Gaye Hain Jhuka Kar Nazar Ko Hum; Allaah Re Wo Aalame Rukhsat Ki Der Tak, Taakte Rahe Hain Yun Hi Teri Rehguzar Ko Hum! |
Hum Hain Mataa-e-Koocha-o-Baazaar Hum Hain Mataa-e-Koocha-o-Baazaar Kee Tarah; Uthti Hai Har Nigaah Kharidaar Kee Tarah; Iss Ku-e-Tishnagi Mein Bahut Hai Ki Ek Jaam; Haath Aa Gaya Hai Daulat-e-Bedaar Kee Tarah; Wo To Hain Kahin Aur Magar Dil Ke Aas Paas; Firti Hai Koi Shay Nigaah-e-Yaar Kee Tarah; Seedhi Hai Raah-e-Shauq Pa Yun Hi Kabhi Kabhi; Kham Ho Gayi Hai Gesu-e-Diladar Kee Tarah; Ab Ja Ke Kuch Khula Hunar-e-Naakhoon-e-Junoon; Zakhm-e-Jigar Huye Lab-o-Rukhsar Kee Tarah; Majrooh Likh Rahe Hain Wo Ahal-e-Wafa Ka Naam; Hum Bhi Khade Hue Hain Gunahagaar Kee Tarah! |