Zindagi Kavish-e-Batil Hai Mera Saath Na Chhod, Tu Hi Ik Umar Ka Hasil Hai Mera Saath Na Chhod; Log Milte Hain Sar-e-Raah Guzar Jaate Hain, Tu Hi Ik Hum-Safar-e-Dil Hai Mera Saath Na Chhod! |
Ye Tajaruba Bhi Karun Ye Tajaruba Bhi Karun Ye Bhi Kar Dikhalaun Main; Ki Khud Ko Yaad Rakhun Us Ko Bhool Jaun Main; Fareb-E-Kar Mein Kuch To Hai Koi Baat To Hai; Ki Jan Bujh Ke Itane Fareb Khaun Main; Wo Pal Kahan Hain Jo Duniya Se Jodata Tha Mujhe; Jo Paun Tujh Ko To Sab Ke Qarib Aaun Main; Kabhi To Ho Mere Ehasas-E-Kamtari Mein Kami; Kabhi To Ho Ki Use Khul Ke Aaun Main; Wo Shakhs Hai Ki Nasim-E-Sahar Ka Jhonka Hai; Bikhar Hi Jaun Jo Us Ko Gale Lagaun Main; Azan Ke Bad Dua Ko Jo Hath Uthaye Wo; Iman Apni Namazen Bhi Bhool Jaun Main! |