Main To 'Munir' Aaine Mein Khud Ko Taak Kar Hairan Hua; Ye Chehra Kuch Aur Tarah Tha Pehle Kisi Zamaane Mein! |
Aadat Hi Bana Li Hai Tum Ne Toh Munir Apni; Jis Shehar Mein Rehna Uktaye Hue Rehna! |
Ik Aaalam-E-Hijraan Hi Ab Hum Ko Pasand Aaya, Yeh Khaana-E-Viraaan Hi Ab Hum Ko Pasand Aaya; Benaaam-O-Nishaan Rehna Ghurbat Ke Ilaaqe Main, Yeh Sheher Bhi Dilkash Tha Tab Hum Ko Pasand Aaya; Tha Laal Hua Manzar Sooraj Ke Nikalne Se, Woh Waqt Tha Woh Chehra Jab Hum Ko Pasand Aaya; Hai Qataa-E-Talluq Se Dil Khush To Bahut Apna, Ik Hadh Hi Banaa Lena Kab Hum Ko Pasand Aaya; Aana Woh 'Munir' Us Ka Be-Khauf-O-Khatar Hum Tak, Yeh Turfaa Tamaasha Bhi Shab Hum Ko Pasand Aaya! |
Meri Saari Zindagi Ko Be'samar Iss Ne Kiya; Umar Meri Thi Magar,Isko Basar Iss Ne Kiya; Main Bahut Kamzor Tha Iss Mulq Mein Hijrat Ke Baad; Par Mujhe Iss Mulq Mein Kamzor'tar Iss Ne Kiya; Rehbar Mera Bana Gumraah Karne Ke Liye; Mujhko Seedhe Raaste Se Darbadar Iss Ne Kiya; Shehar Mein Woh Moatbir Meri Gawahi Se Hua; Phir Mujhe Iss Shehar Mein Na'moatbir Iss Ne Kiya; Shehar Ko Barbaad Kar Ke Rakh Diya Iss Ne 'Munir'; Shehar Per Yeh Zulm Mere Naam Par Iss Ne Kiya! |
Phool The Baadal Bhi Tha Aur Phool The Baadal Bhi Tha Aur Vo Haseen Soorat Bhi Thi, Dil Mein Lekin Aur Hi Ek Shakal Kee Hasrat Bhi Thi; Jo Hawa Mein Ghar Banaye Kaash Koi Dekhta, Dasht Mein Rehte The Par Taameer Kee Aadat Bhi Thi; Keh Geya Main Samane Us Ke Jo Dil Ka Mudda, Kuch To Mausam Bhi Ajab Tha Kuch Meri Himmat Bhi Thi; Ajanabi Sheharon Mein Rehte Umr Saari Kat Gayi, Go Zara Se Fansale Par Ghar Kee Har Rahat Bhi Thi; Kya Qayamat Hai 'Munir' Ab Yaad Bhi Aate Nahi, Vo Purane Aashna Jin Se Humein Ulfat Bhi Thi! |
Bechain Bahut Phirna Bechain Bahut Phirna Ghabraye Hue Rehna; Ik Aag Si Jazbon Ki Dehkaaye Hue Rehna; Chalkaaye Hue Khushbuu Lab-e-Laleen Ki; Ik Baag Sa Sath Apne Mehkaaye Hue Rehna; Ik Shaam Si Kar Rakhna Kaajal Ke Karishme Se; Ik Chaand Sa Aankhon Mein Chamkaaye Hue Rehna; Aadat Hi Bana Li Hai Tum Ne To 'Munir' Apni; Jis Sheher Mein Bhi Rehna Uktaaye Hue Rehna! |
Dar Ke Kisi Se Dar Ke Kisi Se Chup Jataa Hai Jaise Saanp Khazane Mein; Zar Ke Zor Se Zinda Hain Sab Khaak Ke Is Veerane Mein; Jaise Rasam Ada Karte Ho Sheharon Kee Aabadi Mein; Subah Ko Ghar Se Door Nikalkar Shaam Ko Wapis Aane Mein; Neele Rang Mein Doobi Aankhein Khuli Padi Thi Sabze Par; Aks Pada Tha Aasman Ka Shayad Iss Paimane Mein; Dil Kuch Aur Bhi Sard Hua Hai Shaam-e-Shehar Kee Raunak Mein; Kitni Ziya Besood Gayi Sheeshe Ke Lafz Jalane Mein; Main To 'Munir' Aaine Mein Khud Ko Tak Kar Hairan Hua; Ye Chehra Kuch Aur Tarah Tha Pehle Ek Zamane Mein! |
Tujhse Bichad Kar Kya Hun Main, Ab Bahar Aakar Dekh; Himmat Hai To Meri Haalat, Aankh Mila Kar Dekh; Shaam Hai Gehri, Tez Hawa Hai, Sar Pe Khadi Hai Raat; Raasta Gaye Musafir Ka Ab Diya Jalaa Kar Dekh! |
Tujhse Bichad Kar Kya Hun Main Tujhse Bichad Kar Kya Hun Main, Ab Bahar Aakar Dekh; Himmat Hai To Meri Haalat, Aankh Mila Kar Dekh; Shaam Hai Gehri, Tez Hawa Hai, Sar Pe Khadi Hai Raat; Raasta Gaye Musafir Ka Ab Diya Jalaa Kar Dekh; Darwaze Ke Paas Aa Aa Kar Wapis Mudti Chaap; Kaun Hai Iss Sunsaan Gali Mein, Paas Bula Kar Dekh; Shayad Koi Dekhne Wala Ho Jaye Khairaan; Kamre Kee Deewaron Par Koi Naqsh Bana Kar Dekh; Tu Bhi 'Munir' Ab Bhare Jahaan Mein Mil Kar Rehna Seekh; Bahar Se To Dekh Liya, Ab Andar Ja Kar Dekh! |
Meri Saari Zindagi Ko Meri Saari Zindagi Ko Be'samar Iss Ne Kiya; Umar Meri Thi Magar,Isko Basar Iss Ne Kiya; Main Bahut Kamzor Tha Iss Mulq Mein Hijrat Ke Baad; Par Mujhe Iss Mulq Mein Kamzor'tar Iss Ne Kiya; Rehbar Mera Bana Gumraah Karne Ke Liye; Mujhko Seedhe Raaste Se Darbadar Iss Ne Kiya; Shehar Mein Woh Moatbir Meri Gawahi Se Hua; Phir Mujhe Iss Shehar Mein Na'moatbir Iss Ne Kiya; Shehar Ko Barbaad Kar Ke Rakh Diya Iss Ne 'Munir'; Shehar Per Yeh Zulm Mere Naam Par Iss Ne Kiya! |