Ai Shama Tujh Pe Raat Ye Bhari Hai Jis Tarah; Main Ne Tamaam Umar Guzari Hai Is Tarah! |
Kah Raha Hai Shor-e-dariya Se Samundar Ka Sukut; Jis Ka Jitna Zarf Hai Utna Hi Vo Khamosh Hai! * Sukut - Silence * Zarf - Vase, Capability |
Keh Raha Hai Shor-e-Dariya Se Samandar Ka Sukut; Jis Ka Jitna Zarf Hai Utna Hi Wo Khamosh Hai! |
Aap Duniya Bhar Se Aap Duniya Bhar Se Ulfat Kijiye; Mujh Ko Mera Dil Inayat Kijiye; Zabt Se Kya Khoon-e-Hasrat Kijiye; Ek Nala Kar Ke Fursat Kijiye; Joaf Kehta Hai Ki Manzil Door Hai; Shauq Kehta Hai Kee Himmat Kijiye; Gark Hi Hona Thaa Manzoor-e-Khuda; Na-Khudaa Kee Kya Shikayat Kijiye; Hazraat-e-'Natiq' Jahan Tak Ho Sake; Apne Dil Mein Zabt-e-Ulfat Kijiye! |
Kabhi Daaman-e-Dil Par Daag-e-Mayusi Nahee Aaya; Udhar Vaada Kiya Usne, Idhar Dil Ko Yakeen Aaya! |