Raaz Dadwal Shayari

  • Chand Tahniyon Ke Kafan Pe, Syahi Ki Kaalikh Mal Dete Hain,
    Khyaal "Raaz" Ke Bejeaa, Kyon Bezubaan Ki Laash Masal Dete Hain;

    Daur-O-Jaam Ki Mehfilon Mein, Saagaro Minaa Tak Hain Sab Aziz,
    Ashk Chalkein To Hum Sharminda, Woh Sar Jhatakte Hain, Chal Dete Hain;

    Ghamgusaari To Ki Aksar, Sochta Hun Ki Chand Pareshaniyan Meri Bhi To Hain,
    Hazi, Qazi, Niyazi Koi Ho, Kuch To Aise Milao Jo 'Hal' Dete Hain;

    Nekdili, Saafgoi, Dayanat Ke Sab Jazbon Ko Kitabon Mein Hi Rehne Den,
    Tazurba Hai, Bargalate Hain Aalim Kehkar, Ki Inka Farishte 'Fal' Dete Hain;

    Ye Jalwa-E-Husn, Ye Chamak, Ye Nazare Jahan Ke, "Raaz" Ke Vaaste Na Bhi Sahi,
    Itna To Humein Bhi Myssar, Maula Maula Kehte Bhi Khyaal To Machal Dete Hain!
    ~ Raaz Dadwal
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT