Khayaal-e-Husn Mein Yun Zindagi Tamaam Hui, Haseen Subah Hui Aur Haseen Shaam Hui; Baqaar-e-Ishq Bas Ab Sar Jhuka De Kadamon Par, Udhar Se Tere Liye Sabaqat-e-Salaam Hui; Har Ek Apni Jagah Khush Har Ek Yahi Samajha, Nigah-e-Khaas B-Tarz-e-Nigaah-e-Aam Hui; Nazar Mili To Tabassum Raha Khamoshi Par, Nazar Phiri To Zara Himmat-e-Kalaam Hui; Bas Ab To Tum Ne Mohabbat Ka Le Liya Badla, Maaf Karna Jo Takleef-e-Inteqam Hui; Hai Dekhne Hi Ka Waqfa Jise Samajhte Hain, 'Raza' Wo Dhoop Chadhi Din Dhala Wo Shaam Hui! |