Saeed Rahi Shayari

  • Tum Se Sadiyon Ki Wafaaon Ka Koi Naata Tha;<br/>
Tum Se Milne Ki Lakiren Thi Mere Hathon Mein!Upload to Facebook
    Tum Se Sadiyon Ki Wafaaon Ka Koi Naata Tha;
    Tum Se Milne Ki Lakiren Thi Mere Hathon Mein!
    ~ Saeed Rahi
  • Tum Bhi Khul Jaoge Do

    Tum Bhi Khul Jaoge Do Char Mulaqaton Mein;
    Tum Se Sadiyonki Vafaon Ka Koi Nata Na Tha;

    Tum Se Milane Ke Lakiren Thi Mere Hathon Mein;
    Tere Vadon Ne Hamen Ghar Se Nikalne Na Diya;

    Log Mausam Ka Maza Le Gaye Barasaton Mein;
    Ab Na Suraj Na Sitare Na Shaman Na Chand;

    Apne Zakhmon Ka Ujala Hai Ghani Raton Mein;
    Tum Bhi Khul Jaoge Do Char Mulaqaton Mein!
    ~ Saeed Rahi
  • Ye Haqiqat Hai

    Yeh Haqiqat Hai Ki Hota Hai Asar Baton Mein;
    Tum Bhi Samajh Jaoge Do Char Mulaqaton Mein;

    Tum Se Sadiyonki Vafaon Ka Koi Nata Na Tha;
    Tum Se Milane Ke Lakiren Thi Mere Hathon Mein;

    Tere Vadon Ne Hamein Ghar Se Nikalne Na Diya;
    Log Mausam Ka Maza Le Gaye Barasaton Mein;

    Ab Na Suraj Na Sitare Na Shaman Na Chand;
    Apne Zakhmon Ka Ujala Hai Ghani Raton Mein!
    ~ Saeed Rahi
  • Tum Nahin Gham Nahin

    Tum Nahin Ghum Nahin Sharab Nahin;
    Aisi Tanhaee Ka Jawab Nahin;

    Gahe-Gahe Ise Padha Keejay;
    Dil Se Behatar Koi Kitaab Nahin;

    Jane Kis Kis Ki Maut Aayee Hai;
    Aaj Rukh Pe Koi Naquab Nahin;

    Wo Karam Ungliyon Pe Ginte Hain;
    Zulaam Ka Jinke Kuchh Hisab Nahin;

    Tum Nahin Ghum Nahin Sharab Nahin;
    Aisi Tanhaee Ka Jawab Nahin!

    Translation:
    Gahe-Gahe: At Times, Sometimes, Now And Then
    Karam: Benevolence, Benignity
    ~ Saeed Rahi
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT