Tamanaaon Main Uljhaaya Geya Hoon, Khilone De Ke Behlaaya Geya Hoon; Hoon Iss Kuuche Ke Har Zaray Se Waqif, Idhar Se Mudatton Aaya Geya Hoon; Nahin Uthte Qadam Kyun Jaanib-E-Dair, Kisi Masjid Main Behkaaya Geya Hoon; Dil-E-Muztar Se Pooch Ae Raunak-E-Bazm, Main Khud Aaya Nahin Laaya Geya Hoon; Savera Hai Bohat Ae Shor-E-Mehshar, Abhi Bekaar Uthvaaya Geya Hoon; Sataya Aa Ke Pehron Aarzuu Ne, Jo Dum Bhar Aap Main Paaya Geya Hoon; Kuja Main Aur Kuja Ae Shad Duniya, Kahan Se Kis Jagah Laaya Geya Hoon! |
Jaise Meri Nigaah Ne Dekha Na Ho Kabhi, Mehsoos Ye Hua Tujhe Har Baar Dekh Kar! |
Jaise Meri Nigaah Ne Dekhaa Na Ho Kabhi; Mehsoos Ye Hua Tujhe Har Baar Dekh Kar! |
Jeete Jee Hum To Gham-e-Farda Kee Dhun Mein Mar Gaye; Kuch Wahi Achhhe Hain Jo Waqif Nahin Anjam Se! Meaning: Gham-e-Farda = Tomorrow's Sorrow |
Jeete Jee Hum To Gham-e-Farda Kee Dhun Mein Mar Gaye; Kuch Wahi Achhhe Hain Jo Waqif Nahi Anjam Se! Translation: Gham-e-Farda = Tomorrow's Sorrow |