Yun Teri Raah Mein Pade Hue Hain; Jaise Dargah Mein Pade Hue Hain! |
Lafz Ka Bas Hai Talluq Mere Tere Darmiyan; Lafz Ke Maani Pe Qaayam Saare Rishton Ka Nishan! |
Kab Lauta Hai Behta Paani Bichhda Sajan Rootha Dost; Hum Ne Us Ko Apna Jaana Jab Tak Haath Mein Daman Tha! |
Hum Hue Tum Hue Ki 'Meer' Hue; Us Ki Zulfon Ke Sab Aseer Hue! *Aseer: Prisoner, Captive |
Be-Nam Sa Ye Dard Thehar Kyon Nahi Jaata; Jo Beet Gaya Hai Wo Guzar Kyon Nahi Jaata! |
Ishq Ki Chot Ka Kuch Dil Pe Asar Ho To Sahi; Dard Kam Ho Ya Zyada Ho Magar Ho To Sahi! |
Sar Pe Dast-e-Hawa Hai Sadiyon Se; Ghaib Ka Aasra Hai Sadiyon Se! * Ghaib: Mysterious, Unseen |
Aao Purani Yaad Ke Shoalon Mein Taap Len; Kitne Hain Haath Sard Mulaqat Ki Tarah!< |
Behtar To Hai Yahi Ki Na Duniya Se Dil Lage; Par Kya Karen Jo Kaam Na Be-Dil-Lagi Chale! |
Garmi Bahut Hai Aaj Khula Rakh Makaan Ko; Us Ki Gali Se Raat Ko Purvai Aayegi! |