Tu Ishq Ki Doosari Nishani Mujhko De De; Aansu Toh Roz Gir Ke Sookh Jate Hain! |
Dil Munaafiq Tha, Shab-e-Hijr Mein Soya Kaise; Aur Jab Tujh Se Mila, Toot Ke Roya Kaise! Meaning: Munaafiq = Hypocrite Shab-e-Hijr = Peacefully |
Ghamon Mein Bhi Muskurana Chahta Hun Main; Ek Nayi Duniya Basana Chahta Hun Main; Magar Na Jane Kyon Nikal Aate Hain Aansu; Jab Bhi Tumhein Bhulana Chahta Hun Main! |
Phir Aaj Ashk Se Aankhon Mein Kyon Hain Aaye Hue; Guzar Geya Hai Zamaana Tujhe Bhulaaye Hue! |
Karoge Yaad Ek Din Is Pyaar Ke Zamane Ko; Chale Jayenge Jab Hum Kabhi Na Vapas Aane Ko; Chalega Mehfil Mein Jab Zikr Hamara Koi; To Tum Bhi Tanhayi Dhundoge Aansu Bahane Ko! |
Khaali Nahi Raha Kabhi Aankhon Ka Ye Makaan; Sab Ashq Beh Gaye To Udaasi Thehar Gayi! |
Aaj Sawan Bhi Sunata Hai Teri Chitthi; Kore Badal Mein Tu Aansuon Ko Rakhti Hai! |
Har Khushi Kam Hai, Tera Gham Bhulane Ke Liye; Ek Tera Gham Hi Kaafi Hai, Mujhe Umar Bhar Rulane Ke Liye! |
Jo Aag Lagai Thi Tumne Usko To Bujhaya Ashkon Ne; Jo Ashkon Ne Bhadkai Hai Us Aag Ko Thanda Kaun Kare! |
Maine Bhi Badal Diye Apne Zindagi Ke Asool; Ab Jo Yaad Karega Woh Yaad Rahega! |