Mil Hi Jayega Koi Na Koi Toot Ke Chahne Wala; Ab Shehar Ka Shehar Toh Bewafa Ho Nahi Sakta! |
Aayina Phaila Raha Hai Khud Farebi Ka Yeh Marz; Har Kisi Se Keh Raha Hai Aap Sa Koi Nai! |
Woh Bewafa Hamara Imtihaan Kya Legi; Milengi Nazron Se Nazar Toh Nazar Jhuka Legi; Use Meri Qabar Par Diya Jalane Ko Matt Kehna; Woh Nadaan Hai Dosto, Apna Haath Jala Legi! |
Ja Tujhe Tere Haal Pe Chhoda; Is Se Behtar Teri Saza Bhi Kya Hai! |
Ek Bar Phir Se Niklengey Talash-e-Ishq Mein; Dua Karo Yaaron Iss Bar Koi Bewafa Na Mile! |
Ajeeb Tamasha Hai Mitti Ke Bane Logon Ka; Bewafai Karo To Rote Hain, Wafa Karo To Rulate Hain! |
Nafrat Thi Humse To Izhaar Kyon Kiya; Dena Tha Zehar To Pyaar Kyon Kiya; Dekar Zehar Kehte Ho Peena Hi Hoga, Aur Jab Pee Gaye Zehar To Kehte Ho Ab Jeena Hi Hoga! |
Kuch Toh Rahi Hongi Inki Bhi Mazbooriyan; Yun Chah Ke Koi Bewafa Nahi Hota! |
Uski Khamoshi Se Mujhe Darr Lagta Hai; Door Na Ho Jaye Aisa Kyon Lagta Hai; Duniya Se Use Cheen Lene Ka Haunsla To Hai Mujh Mein; Lekin Wo Saath Na Dega Aisa Kyon Lagta Hai! |
Hum Se Bewafai Ki Inteha Kya Puchte Ho Mohsin; Woh Hum Se Pyaar Seekhta Raha Kisi Aur Ke Liye! |