Jahan-Zad Kaise Hazaron Baras Baad, Ik Shehar-e-Madfun Ki Har Gali Mein; Mere Jaam-o-Meena-o-Gul-Dan Ke Reze Mile Hain, Ki Jaise Wo Is Shehar-e-Barbad Ka Hafiza Hon! |
Zaroori Toh Nahi Jeene Ke Liye Sahara Ho, Zaroori Toh Nahi Hum Jinke Hain Woh Humara Ho; Kuch Kashtiyan Doob Bhi Jaya Karti Hain, Zaroori Toh Nahi Har Kashti Ka Kinara Ho! |
In Mein Kya Farq Hai Ab Is Ka Bhi Ehsaas Nahi; Dard Aur Dil Ka Zara Dekhiye Yaksan Hona! *Yaksan: Same |
Abad Rahenge Veerane Shadab Rahengi Zanjeeren, Jab Tak Deewane Zinda Hain Phulengi Phalengi Zanjeeren; Azadi Ka Darwaza Bhi Khud Hi Kholengi Zanjeeren, Tukde Tukde Ho Jayengi Jab Had Se Badhengi Zanjeeren! |
Jo Teer Bhi Aata Woh Khaali Nahi Jata, Mayus Mere Dil Se Sawali Nahi Jata; Kaante Hi Kiya Karte Hain Phoolo Ki Hifazat, Phoolo Ko Bachane Koi Maali Nahi Aata! |
Dard Ho Dil Mein To Dawa Kijiye, Dil Hi Jab Dard Ho To Kya Kijye; Hum Ko Fariyad Karni Aati Hai, Aap Sunte Nahi Tu Kya Kijye! |
Ek Ishq Ka Gham Aafat Aur Us Pe Ye Dil Aafat; Ya Gham Na Diya Hota Ya Dil Na Diya Hota! |
Ahbab Ko De Raha Hun Dhokha; Chehre Pe Khushi Saja Raha Hun! *Ahbab: Friends, Lovers, Dear Ones |
Dard Ka Har Ek Ke Ehsas Kanta Hi Sahi; Ye Wo Kanta Hai Jise Dil Mein Chubhona Pad Gaya! |
Dard-o-Gham Dil Ki Tabiyat Ban Gaye; Ab Yahan Aaram Hi Aaram Hai! |