Dosti Shayari

  • Kaun Kehta Hai Dost, Tumse Hamari Judaai Hogi;
    Yeh Khabar Kisi Aur Ne Uddaie Hogi;
    Shaan Se Rahenge Hum Aapke Dil Mein;
    Dosti Ke Iss Khel Mein Humne;
    Kuch Toh Jagah Banai Hogi!
  • Main to uljha raha uljhanon ki tarah;
    Doston mein raha dushmanon ki tarah.
  • Aap pe kurbaan hmari Yaari hai, hanske mar jaane ki Tayyari hai,
    Yeh silsila na khatam ho humaari Dosti ka, humne to yaad kar liya ab aapki Baari hai. 6
  • Bade Ajeeb Hain Ye Zindagi Ke Raaste;
    Anjane Mod Par Kuchh Log Dost Ban Jate Hain;
    Milne Ki Khushi De Ya Na De Bichhadne Ka Gam Zarur De Jate Hain!
  • Sabne Kaha Dosti Ek Dard Hai;
    Humne Kaha Dard Kabool Hai;
    Subne Kaha Is Dard Ke Saath Jee Na Paogay;
    Humne Kaha Teri Dosti Ki Saath Marna Kabool Hai!
  • Daulat Aur Sohrat Sabke Pas Hai;
    Khushiya Aur Ghum Sabke Naseeb Mein Hai;
    Pyar Aur Nafrat Sabke Dil Mein Hai;
    Par Khush-Naseeb Hai Hum Kyonki;
    Tum Jaisa Dost Hamare Pas Hai!
  • Phool Aisa Ho Jo Baag Ko Khushbu Se Bhar De;
    Hamsafar Aisa Ho Jo Andheron Ko Roshan Kar De;
    Dost Aisa Ho Zindagi Ko Khushi Aur Mobile Ko Sms Se Bhar De!
  • Pyar Karnewalon Ki Kismat Kharab Hoti Hai;
    Har Waqt Inteha Ki Ghadi Sath Hoti Hai;
    Waqt Mile To Rishto Ki Kitab Khol Ke Dekh Lena;
    Dosti Har Rishtey Se Lajawab Hoti Hai!
  • Sawaal paani ka nahi, Pyaas ka hai,
    Sawaal maut ka nahi, Saans ka hai,
    Dost to duniya mein bahut hain magar,
    Sawaal dosti ka nahi Vishwas ka hai
  • Suna hai asar hota hai baaton mein, Aap bhi bhul jaoge Do-Chaar mulakaton mein,
    Lekin humse bachkar kahan jaoge, Aapki dosti ki lakeer hai mere haathon mein
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT