Zindagi Hum Se Tere Naaz Uthaye Na Gaye;
Saans Lene Ki Faqat Rasm Ada Karte The!
Koi Zameen Hai To Koi Aasman Hai;
Har Shakhs Apni Zaat Mein Ik Daastan Hai!
Un Se Milte The To Sab Kehte The Kyon Milte Ho;
Ab Yahi Log Na Milne Ka Sabab Puchte Hain!
Aankh Ki Ye Ek Hasrat Thi Ki Bas Poori Hui;
Aansuon Mein Bheeg Jaane Ki Hawas Poori Hui!
Tum Aise Achchhe Ki Achchhe Nahi Kisi Ke Saath;
Main Woh Bura Ki Kisi Ka Bura Nahi Karta!
Ye Dushmani Hai Saaqi Ya Dosti Hai Saaqi;
Auron Ko Jaam Dena Mujh Ko Dikha Dikha Ke!
Main To Ghazal Suna Ke Akela Khada Raha;
Sab Apne Apne Chahne Walon Mein Kho Gaye!
Woh Yun Mila Tha Ki Jaise Kabhi Na Bichhdega;
Woh Yun Geya Ki Kabhi Laut Kar Nahi Aaya!
Raat Mili Tanhai Mili Aur Jaam Mila;
Ghar Se Nikle Toh Kya Kya Araam Mila!
Tere Ufuq Pe Sada Subah Jagmagati Rahe;
Jahan Pe Main Hun Vahan Shaam Hone Wali Hai!