Zaban Khamosh Magar Nazron Mein Ujala Dekha;
Us Ka Izhar-E-Mohabbat Bhi Nirala Dekha!
Mohabbat Ki To Koi Had, Koi Sarhad Nahi Hoti; Hamare Darmiyan Ye Faasle, Kaise Nikal Aaye!
Tamam Umar Akele Mein Tujh Se Baatein Ki; Tamam Umar Tere Ru-Ba-Ru Khamosh Rahe!
Tere Ufuq Pe Sada Subah Jagmagati Rahe;
Jahan Pe Main Hun Vahan Shaam Hone Wali Hai!
Ishq Ka Shor Hai, Mohabbat Ki Baatein Hai;
Magar Koi Bekarar Nahi, Koi Wafa Nahi!
Sazayein Dekhta Hun Aur Sochta Hun Main;
Jahaan Mein Ishq Se Badh Kar Koi Bhi Jurm Nahi!
Koi Le Le To Dil Dene Ko Main Tayyar Baitha Hun;
Koi Mange To Apni Jaan Tak Qurban Karta Hun!
Har Dil Mein Chhupa Hai Teer Koi Har Paanv Mein Hai Zanjeer Koi;
Puche Koi In Se Gham Ke Maze Jo Pyaar Ki Baatein Karte Hain!
Woh Guftugu Jo Meri Sirf Apne-Aap Se Thi;
Teri Nigah Ko Pahunchi To Shayari Hui Hai!

Jo Nigah-e-Naaz Ka Bismil Nahi;
Dil Nahi Wo Dil Nahi Wo Dil Nahi!
*Bismil: Wounded