Koi Titli Nishane Par Nahi Hai;
Main Bas Rangon Ka Peechha Kar Raha Hun!
Bahut Ghurur Tha Suraj Ko Apni Shiddat Par;
So Ek Pal Hi Sahi Badalon Se Haar Gaya!
Qurbaten Hote Hue Bhi Faslon Mein Qaid Hain;
Kitni Azadi Se Hum Apni Hadon Mein Qaid Hain!
Bazm-e-Wafa Saji To Ajab Silsile Hue;
Shikve Hue Na Un Se Na Hum Se Gile Hue!
Siyah Raat Nahi Leti Naam Dhalne Ka;
Yahi To Waqt Hai Suraj Tere Nikalne Ka!
Sher Kehne Ki Tabiyat Na Rahi;
Jis Se Aamad Thi Woh Surat Na Rahi!
Ishq Ka Shor Hai, Mohabbat Ki Baatein Hai;
Magar Koi Bekarar Nahi, Koi Wafa Nahi!
Is Qadar Roya Hun Teri Yaad Mein;
Aaine Ankhon Ke Dhundle Ho Gaye!
Main Khud Ko Marte Hue Dekh Kar Bahut Khush Hun;
Yeh Darr Bhi Hai Ki Meri Aankh Khul Na Jaye Kahin!
Teri Wafa Mein Mili Arzoo-e-Maut Mujhe;
Jo Maut Mil Gayi Hoti To Koi Baat Bhi Thi!