Bazm-e-Wafa Saji To Ajab Silsile Hue; Shikve Hue Na Un Se Na Hum Se Gile Hue! |
Karta Raha Woh Mujh Pe Sada Meharbaniyan; Kuch Aur Dhundhti Rahi Main Meharban Mein! |
Bas Isi Umeed Pe Hota Geya Barbad Main; Gar Kabhi Bikhra To Aa Kar Tu Sambhalega Mujhe! |
Na Koi Vaada Na Koi Yaqeen Na Koi Umeed; Magar Humein To Tera Intezar Karna Tha! |
Hum Saans Bhi Lene Ke Saza-Var Na Thehre, Maazi Ke Kharabe Ki Bhi Deewar Na Thehre; Sau Baar Dhuan Phool Ke Seene Se Utha Hai, Badal Ke Qadam Baagh Mein Ik Baar Na Thehre! *Maazi: Past *Kharabe: Waste |
Isi Shehar Mein Kayi Saal Se Mere Kuch Qaribi Azeez Hain; Unhein Meri Koi Khabar Nahi Mujhe Unka Koi Pata Nahi! |
Wo Afsana Jise Anjam Tak Laana Na Ho Mumkin; Use Ik Khoobsurat Mod De Kar Chhodna Achha! |
Toot Padti Thi Ghataen Jin Ki Aankhen Dekh Kar; Wo Bhari Barsaat Mein Tarse Hain Paani Ke Liye! |
Qabron Mein Nahi Hum Ko Kitabon Mein Utaro; Hum Log Mohabbat Ki Kahani Mein Maren Hain! |
Pehle Is Mein Ik Ada Thi Naaz Tha Andaaz Tha; Roothna Ab To Teri Aadat Mein Shamil Ho Gaya! |