Kuch Aur Bhi Hain Humein Kaam, Aye Gham-e-Janan; Kab Tak Koi Uljhi Huyi Zulfon Ko Sanwaarey! |
Na Ishq Ki Tamanna Thi Na Madhoshi Ki Bekraari Thi; Yeh Tere Husn Ka Jalwa Hai, Jo Hum Diwane Ho Gaye! |
Kyon Vasl Ki Shab Haath Lagaane Nahin Dete; Ma'shuq Ho Ya Koi Amaanat Ho Kisi Ki! |
Jis Waqt Khuda Ne Tumhe Banaya Hoga; Ek Saroor Sa Uska Dil Pe Chaya Hoga; Pehle Socha Hoga Tujhe Jannat Mein Rakh Luon; Phir Usse Mera Khayal Aaya Hoga! |
Dil Ki Chokat Par Jo Ik Deep Jala Rakha Hai; Terey Laut Aanay Ka Imkan Saja Rakha Hai; Rooth Jate Ho To Kuch Aur Hasin Lagtee Ho; Yeh Soch Ke Tum Ko Khafa Rakha Hai! |
Rabb Janda Ohda Mera Ki Rishta; Jisnu Har Pal Milan Nu Jee Karda; Saari Duniya Toh Lagda Bhola Jeha Chehra; Jihnu Tak Tak Na Dil Bharda! |
Naqsh Faryadi Hai Kis Ki Shokhi Takhir Ka; Kaghazi Hai Pairahan Her Paikar-e-Tasvir Ka! Translation: Naqsh = Mark Faryadi = Pleader Shokh = Playful Tahrir = Writing Pairahan = Clothes Paikar = Face |
Yeh Jo Pani Mein Sunehera Garoor Utar Aya Hai; Zaroor Usne Pani Mein Payu Utara Hoga! |
Padhi Jo Ek Nazar Hum Dekhte Reh Gaye; Vaar Hua Katil Muskaan Ka Hum Madhosh Ho Gaye; Chahat Ki Chandani Mein Bheega Yoon Tan Badan; Hum Kali Se Pal Bhar Mai Gulaab Ho Gaye! |
Shaam Hote Hi Tere Pyar Ki Pagal Khushboo; Neend Ankhon Se Sukoon Dil Se Chura Leti Hai! |