Un Ki Nazar Ke Saath Hi Saara Zamana Phir Gaya, Gardish-e-Chashm-e-Naaz Hai Gardish-e-Rozgar Kya; Bad-e-Khizan Ki Mauj Thi Ghuncha-e-Dil Ke Haq Mein Sam, Mausam-e-Gul Ki Bhi Hawa Hogi Na Sazgar Kya! * Gardish-e-Chashm-e-Naaz: Movement eyes of coquetry * Sazgar: Agreeable, favourable, |
Aap Ne Tasveer Bheji Maine Dekhi Ghaur Se; Har Ada Achhi Khamoshi Ki Ada Achhi Nahi! |
Tera Milna Khushi Ki Baat Sahi, Tujh Se Mil Kar Udaas Rehta Hun; Hazaar Barq Gire Laakh Andhiyan Uthen, Wo Phool Khil Ke Rahenge Jo Khilne Wale Hain! |
Raat Bhi Neend Bhi Kahani Bhi; Haaye Kya Cheez Hai Jawani Bhi! |
Dua Karo Ki Main Us Ke Liye Dua Ho Jaaun; Wo Ek Shakhs Jo Dil Ko Dua Sa Lagta Hai! |
Ujad Jaye Jo Iss Duniya Ki Zidd Mein, Woh Dil Abaad Rakhna Shayari Hai; Mohabbat Hai Kisi Ka Yaad Aana, Kisi Ko Yaad Rakhna Shayari Hai! |
Muddat Ke Baad Aaj Use Dekh Kar 'Munir'; Ek Baar Dil To Dhadka Magar Phir Sambhal Geya! |
Ishq Hai Tarz-o-Taur Ishq Ke Taeen, Kahin Banda Kahin Khuda Hai Ishq; Ishq Maashuq Ishq Aashiq Hai, Yaani Apna Hi Mubtala Hai Ishq! |
Kaghaz Mein Dab Ke Mar Gaye Keede Kitab Ke; Deewana Be-Padhe-Likhe Mashoor Ho Gaya! |
Hazar Baar Jo Manga Karo To Kya Hasil; Dua Wahi Hai Jo Dil Se Kabhi Nikalti Hai! |