Aao Janab-e-Shaikh Chalo Mai-Kada Chalen; Arsa Hua Hai Mai-Kada Veeran Kiye Hue! |
Kharab Hote Kharabe Mein Aur Kya Hota; Huzur-e-Saqi Agar Hum Subu Subu Karte! |
Fasl-e-Bahar Aayi Piyo Sufiyo Sharab; Bas Ho Chuki Namaaz Musalla Uthaiye! |
Saaqi Humein Kasam Hai Teri Chashm-e-Mast Ki; Tujh Bin Jo Khwab Mein Bhi Piyen Mai Haram Ho! |
Jawaan Hai Raat Saqiya Sharab La Sharab La; Zara Si Pyaas To Bujha Sharab La Sharab La! |
Didani Hai Tere Itaab Ka Rang; Shisha-e-Chashm Mein Sharab Ka Rang! *Didani - Visible *Itaab - Temper, Anger |
Aisa Na Ho Ki Sakht Ka Ho Sakht-Tar Jawab; Yaaron Sambhal Ke Vaar Karo Main Nashe Mein Hun! |
Sakiya Ek Nazar Jaam Se Pehle Pehle; Hum Ko Jana Hai Kahin Sham Se Pehle Pehle! |
Badi Azmat Se Khud Saqi Ne Ja Kar Peshwai Ki; Sharabi Koi Mai-Khana Ke Andar Jab Musin Aaya! * Musin - Old/Aged |
Jab Ghir Jao Dukhon Ke Sailaab Se; To Doob Jao Saaki Ki Sharab Se! |