1) "Kabhi kabhi lagta hai, apun hi bhagwan hai."
2) "Mumbai shahar hai yeh. Kuch bhi ho sakta hai idhar."
3) "Bhagwan aadmi se kahani me baat karta hai. Hum sab ka life ek kahani hai."
4) "Main chhota sa tha, 10-11 saal ka, tabhi fix ho gaya tha, yeh aaj ka din, ye connection, aap -- Dilbagh Singh, aur main."
5) "Lagta hai 6 janam pehle ki baat hai, jab main maa ko dekha."
6) "Aadmi andar se jitna kaala hota hai, duniya ke samne utna hi safed banne ki koshish karta hai."
7) "Tum mardon ko aisa kyun lagta hai, ki har aurat ko tumhein hi bachana hai."
8) "Kaun kisko kaise jaanta hai, yeh itna seedha seedha nahin hai, saheb."
9) "Jannat toh main hoon. Jisko jannat dekhni hoti hai na, woh mere paas aate hain." "Tujhe dekhte toh sab hain. Tu dikhti nahi kisi ko."
10) "Yeh aadat bhi mast bimaari hai, saab. Kissi bhi cheez ki lag jaati hai."
11) "Hero banna hai toh pehle comedy chhor. Kukoo ko sirf action pasand hai."
12) "Apun ki bhi phat gayi, lekin soch liya toh soch liya."
13) "Agar bhagwan nahin hota, toh aadmi ke andar bhagwan ka idea kidhar se aata?"
14) "Yeh duniya kaise shuru hui, apun ko nahin pata, par kaise khatam hoga, maloom hai."
15) `Sab marr jayenge, sirf Trivedi bach jayega.`
16) "Jab tak yeh khel khatam nahin hota, apun idharich hai."
Bonus: `Yeh roz roz beach saaf karo, toh saaf ho jayega?` `Lekin hona toh chahiye na, saab.` `Yeh kachra kaha se aata hai? Aaj saaf karo, kal samundar hazaar kilo kachra yahin daal dega. Hum roz crime pakadte hai, ghar jaate hai, kal savere wahi crime chaalu.` `Lekin aaj toh saaf hai na saab, hai ki nahi? Kal ka kal dekhenge.`