Budhon Ke Saath Log Kahan Tak Wafa Karen; Budhon Ko Bhi Jo Maut Na Aaye To Kya Karen! |
Duniya Mein Hun Duniya Ka Talabgar Nahi Hun; Bazar Se Guzra Hun Khareedar Nahi Hun! |
Mera Mohtaaz Hona Toh Meri Haalat Se Zaahir Hai; Magar Haan Dekhna Hai Aap Ka Haajat-Rawa Hona! |
Ab To Hai Ishq-e-Buta Mein Zindagani Ka Maza; Jab Khuda Ka Saamana Hoga To Dekha Jaayega! |
Log Kehte Hain Ki Badnaami Se Bachna Chahiye, Keh Do Be Is Ke Jawani Ka Maza Milta Nahi! |
Sau Jaan Se Ho Jaunga Raazi Main Saza Par, Pehle Wo Mujhe Apna Gunahgar To Kar Le! |
Dil Wo Hai Ki Fariyad Se Labrez Hai Har Waqt; Hum Wo Hain Ki Kuch Munh Se Nikalne Nahin Dete! |
Ishq Ke Izhaar Mein Har Chaand Rusvayi To Hai; Par Karun Kya Ab Tabiyat Aap Par Aayi To Hai! |
Apne Mehboob Ki Khaatir Tha Khuda Ko Manzoor; Warna Quran Bhi Utarta Ba Zabaan-e-Urdu! |
Baaghon Mein To Bahaar Darakhton Kee Dekh Lee; College Mein Aa Key Convocation Ko Dekhiye; Leemoo To Kaaghazee Bahut Dekhey Hain Aapney; Ab Kaaghazee Taraqqee-E-Nation Ko Dekhiye! |