Budhon Ke Saath Log Kahan Tak Wafa Karen; Budhon Ko Bhi Jo Maut Na Aaye To Kya Karen! |
Duniya Mein Hun Duniya Ka Talabgar Nahi Hun; Bazar Se Guzra Hun Khareedar Nahi Hun! |
Mera Mohtaaz Hona Toh Meri Haalat Se Zaahir Hai; Magar Haan Dekhna Hai Aap Ka Haajat-Rawa Hona! |
Ab To Hai Ishq-e-Buta Mein Zindagani Ka Maza; Jab Khuda Ka Saamana Hoga To Dekha Jaayega! |
Log Kehte Hain Ki Badnaami Se Bachna Chahiye, Keh Do Be Is Ke Jawani Ka Maza Milta Nahi! |
Sau Jaan Se Ho Jaunga Raazi Main Saza Par, Pehle Wo Mujhe Apna Gunahgar To Kar Le! |
Kat Gayi Jhagde Mein Sari Raat Vasl-e-Yaar Kee; Shaam Ko Bosa Liya Tha, Subah Tak Taqarar Kee; Zindagi Mumkin Nahi Ab Aashiq-e-Beemar Kee; Chhid Gayi Hain Barchiyan Dil Mein Nigah-e-Yaar Kee; Hum Jo Kehte The Na Jana Bazm Mein Agayaar Kee; Dekh Lo Neechi Nigahein Ho Gayi Sarkaar Kee; Zehar Deta Hai To De, Zaalim Magar Taskeen Ko; Is Mein Kuch To Chashni Ho Sharab-e-Deedaar Kee; Baad Marne Ke Mili Jannat Khudaa Ka Shukr Hai; Mujhko Dafnaya Rafeeqon Ne Gali Mein Yaar Kee; Haal-e-'Akbar' Dekh Kar Bole Buri Hai Dosti; Aise Rusvayi, Aise Rind, Aise Khudayi Khwaar Kee! |
Kis-Kis Ada Se Tune Kis-Kis Ada Se Tune Jalwa Dikha Ke Mara; Aazad Ho Chuke The, Banda Bana Ke Mara; Awal Bana Ke Putla, Putle Mein Jaan Dali; Phir Usko Khud Qaza Kee Soorat Mein Aake Mara; Aankhon Mein Teri Zaalim Churiyaan Chupi Hui Hain; Dekha Jidhar Ko Tune Palkein Uthake Mara; Gunchon Mein Aake Mehka, Bulbul Mein Jake Chehka; Isko Hansa Ke Mara, Usko Rula Ke Mara; Sosan Kee Tarah 'Akbar', Khamosh Hain Yahan Par; Naragis Mein Isne Chhip Kar Aankhein Lada Ke Mara! |
Dil Wo Hai Ki Fariyad Se Labrez Hai Har Waqt; Hum Wo Hain Ki Kuch Munh Se Nikalne Nahin Dete! |
Ishq Ke Izhaar Mein Har Chaand Rusvayi To Hai; Par Karun Kya Ab Tabiyat Aap Par Aayi To Hai! |