Kisi Gul Ki Qaba Milti Nahi Tehriq Se Khali, Junoon Ne Le Ke Banti Hain Ye Kitni Dhajjiyan Mujh Se; Pila Saaqi Ki Reh Jaye Khumar-e-Kaif Ka Parda, Bas Ab Rukti Nahi Aati Hui Angdaiyan Mujh Se! *Khumar-e-Kaif: Exhilaration *Qaba: apparel, garment |
Jo Dil Rakhte Hain Seene Mein Woh Kaafir Ho Nahi Sakte; Mohabbat Deen Hoti Hai Wafa Imaan Hoti Hai! |
Aankh Se Dil Mein Aane Wala, Dil Se Nahi Ab Jaane Wala; Ghar Ko Phoonk Ke Jaane Wala, Phir Ke Nahi Hai Aane Wala! |
Buri Sarisht Na Badli Jagah Badalne Se; Chaman Mein Aa Ke Bhi Kaanta Gulab Ho Na Saka! |
Allah Allah Husn Ki Ye Parda-Dari Dekhiye; Bhed Jis Ne Kholna Chaha Woh Deewana Hua! |
Jo Khushi Hai Fani Toh Gham Bhi Fani; Na Ye Javedani Na Woh Javedani! Fani: Mortal Javedani: Immortal, Forever, Eternal |