Yahan Libas Ki Keemat Hai Aadmi Ki Nahi; Mujhe Gilas Bade De Sharab Kam Kar De! |
Isi Shehar Mein Kayi Saal Se Mere Kuch Qaribi Azeez Hain; Unhein Meri Koi Khabar Nahi Mujhe Unka Koi Pata Nahi! |
Kaghaz Mein Dab Ke Mar Gaye Keede Kitab Ke; Deewana Be-Padhe-Likhe Mashoor Ho Gaya! |
Us Ki Aankhon Ko Ghaur Se Dekho; Mandiron Mein Charagh Jalte Hain! |
Mohabbat Ek Khushboo Hai Hamesha Saath Chalti Hai; Koi Insaan Tanhayi Mein Bhi Tanha Nahi Rehta! |
Khuda Ki Itni Badi Qaynaat Mein Maine; Bas Ek Shakhs Ko Manga Mujhe Wohi Na Mila! |
Khuda Aise Ehsas Ka Naam Hai; Rahe Saamne Aur Dikhayi Na De! |
Agar Fursat Mile Paani Ki Tahriron Ko Padh Lena; Har Ik Dariya Hazaron Saal Ka Afsana Likhta Hai! |
Samundar Ke Safar Mein Is Tarah Awaaz De Hum Ko; Hawayein Tez Hon Aur Kashtiyon Mein Shaam Ho Jaye! |
Naye Daur Ke Naye Khwab Hain Naye Mausamo Ke Gulaab Hain; Ye Mohabbaton Ke Chirag Hain Inhe Nafraton Ki Hawa Na Den! |