Wafa Karenge Nibhayenge Baat Manenge; Tumhein Bhi Yaad Hai Kuch Ye Kalaam Kis Ka Tha! |
Tumhara Dil Mere Dil Ke Barabar Ho Nahi Sakta; Wo Sheesha Ho Nahi Sakta Ye Patthar Ho Nahi Sakta! |
Le Chala Jaan Meri Rooth Ke Jana Tera; Aise Aane Se To Behtar Tha Na Aana Tera! |
Tumhare Khat Mein Naya Ik Salaam Kis Ka Tha; Na Tha Raqib To Aakhir Wo Naam Kis Ka Tha! |
Thak Thak Ke Band Hote Hain Chashme Intzaar; Aata Hai Sab Ko Khyaal Tumhare Khyaal Se! |
Raah Dekhenge Na Duniya Se Guzarne Wale; Hum To Jaate Hain Thehar Jaye Thehrne Wale! |
Pukarti Hai Khamoshi Meri Fugan Ki Tarah, Nigahein Kehti Hain Sab Raz-e-Dil Zubaan Ki Tarah; Jala Ke Dag-e-Mohabbat Ne Dil Ko Khak Kiya Bahar, Ai Mere Bag Mein Khizan Ki Tarah! |
Baat Karni Tak, Na Aati Thi Tumhein; Yeh Hamare Samne Ki Baat Hai! |
Daag Itraye Hue Phirte Hain Aaj; Shayad Unki Aabru Hone Lagi! Itraye: Flaunt, Strut Aabru: Respect |
Kal Jo Tha Aaj Wo Mizaaz Nahi; Iss Talavvun Ka Kuch Ilaaz Nahi! Mizaaz: Nature, Coquetry Talavvun: Instability, Agility |