Baat Bas Se Nikal Chali Hai, Dil Ki Halat Sambhal Chali Hai; Ab Junoon Hadh Se Badh Chala Hai, Ab Tabiyat Bahal Chali Hai! |
Kar Raha Tha Gham-e-Jahan Ka Hisab; Aaj Tum Yaad Be-Hisab Aaye! |
Dono Jahan Teri Mohabbat Mein Haar Ke; Woh Ja Raha Hai Koi Shab-e-gham Guzar Ke! |
Gulon Mein Rang Bhare Bad-e-Nau-Bahar Chale, Chale Bhi Aao Ki Gulshan Ka Karobar Chale; Qafas Udaas Hai Yaaro Saba Se Kuch To Kaho, Kahin To Bahr-e-Khuda Aaj Zikr-e-Yaar Chale! |
Ashk Khunab Ho Chale Hain, Gham Ki Rangat Badal Chali Hai; Ya Yun Hi Bujh Rahi Hain Shamen, Ya Shab-e-Hijr Tal Chali Hai! |
Aur Kya Dekhne Ko Baaki Hai; Aap Se Dil Laga Ke Dekh Liya! |
Tumhari Yaad Ke Jab Zakhm Bharne Lagte Hain; Kisi Bahane Tumhein Yaad Karne Lagte Hain! |
Kab Tak Dil Ki Khair Manayein Kab Tak Raah Dikhlaoge; Kab Tak Chain Ki Mohlat Doge Kab Tak Yaad Naa Aaoge! |
Ek Tarz-e-Taghaful Hai So Wo Un Ko Mubarak; Ek Arz-e-Tamanna Hai So Hum Karte Rahenge! *Tarz-e-Taghaful: Style Of Ignorance |
Jab Tujhe Yaad Kar Liya Subah Mahak Mahak Uthi; Jab Tera Gham Jaga Liya Raat Machal Machal Gayi! |