Yeh Aur Baat Teri Gali Mein Na Ayen Hum; Lekin Yeh Kya Ki Tera Sheher Chod Jayen Hum; Muddat Hui Hai Kuye Bataan Ki Taraf Gaye, Awargi Se Dil Ko Kahan Tak Bachayein Hum! |
Samraj Ko Dost Hamare Dushman Hain, Inhi Se Aansu Aahein Aangan Aangan Hain; Inhi Se Qatal-e-Aam Hua Aashaon Ka, Inhi Se Veeran Umeedon Ka Gulshan Hai! |
Lakh Kehte Rahen Zulmat Ko Zulmat Na Likhna; Ham Ne Sekha Nahi Payare Be-Ijazat Likhna! |
Wafa Tujh Se Aey Bewafa Chahta Hun; Mere Sadgi Dekh Kya Chahta Hun! |
Lakh Kehte Rahen Zulmat Ko Zulmat Na Likhna; Hum Ne Seekha Nahi Payare Be-Izazat Likhna! |
Jeene Ka Haq Saamraj Ne Cheen Liya, Utho Marne Ka Haq Istemal Karo; Zillat Ke Jeene Se Marna Behtar Hai, Mit Jao Ya Qasr-e Sitam Pamal Karo! |
Samraj Ko Dost Hamare Dushman Hain, Inhi Se Aansu Aahen Aangan Aangan Hain; Inhi Se Qatal-e-Aam Hua Aashaon Ka, Inhi Se Veeran Umeedon Ka Gulshan Hai! |
Ek Humein Aawara Kehna, Koi Bada Ilzaam Nahi; Duniya Wale Dil Walon Ko Aur Bahut Kuch Kehte Hain! |
Yeh Kya Ki Tujhe Bhi Hai Zamane Se Shikayat; Yeh Kya Ki Teri Aankh Bhi Pur Num Hai Meri Jaan! |
Us Ke Baghair Aaj Bahut Jee Udaas Hai; 'Jalib' Chalo Kahin Se Usse Dhoond Layen Hum! |