Gar Kis Diljale Ki Hai Ye Falak, Shola Ek Subah Yaan Se Uthta Hai; Khana-e-Dil Se Zinhar Na Ja, Koi Aise Makaan Se Uthta Hai! *Zinhar :Quarter, Refuge, Mercy |
Ishq Hai Tarz-o-Taur Ishq Ke Taeen, Kahin Banda Kahin Khuda Hai Ishq; Ishq Maashuq Ishq Aashiq Hai, Yaani Apna Hi Mubtala Hai Ishq! |
Dil Na Pahuncha Gosha-e-Daman Talak, Qatra-e-Khoon Tha Mizha Par Jam Raha; Sunte Hain Laila Ke Kheme Ko Siyah, Us Mein Majnun Ka Magar Matam Raha! |
Gham Raha Jab Tak Ki Dum Mein Dum Raha, Dil Ke Jaane Ka Nihayat Gham Raha; Husn Tha Tera Bahut Alam-Fareb, Khat Ke Aane Par Bhi Ik Aalam Raha! |
Nazuki Us Ke Lab Ki Kya Kahiye; Pankhudi Ik Gulab Ki Si Hai! |
'Mir'-Sahib Zamana Nazuk Hai; Donon Hathon Se Thamiye Dastar! |
Ishq Maashuq Ishq Ashiq Hai; Yaani Apna Hi Mubtala Hai Ishq! * Mubtala: Afflicted, Distressed |
Hum Hue Tum Hue Ki 'Meer' Hue; Us Ki Zulfon Ke Sab Aseer Hue! *Aseer: Prisoner, Captive |
Hum Hue Tum Hue Ki 'Mir' Hue; Us Ki Zulfon Ke Sab Aseer Hue! |
Ibtidaa-e-Ishq Hai Rota Hai Kya, Aage Aage Dekhiye Hota Hai Kya! |