Ya Haathon Haath Lo Mujhe Jaise Ki Maanind-e-Jaam-e-Mai; Ya Todi Door Saath Chalo, Main Nashe Mein Hoon! Maanind-e-Jaam-e-Mai: Like The Glass Of Wine |
Raah-e-Door-e-Ishq Mein Rota Hai Kya; Aage Aage Dekhiye Hota Hai Kya! Raah-e-Door-e-Ishq: The Long Path Of Love |
Ameeron Tak Rasaai Ho Chuki Bas; Meri Bakht-Aazmayai Ho Chuki Bas! Rasaai: Reach, Access Bakht: Luck |
Mujhe Kaam Rone Se Aksar Hai Naaseh; Tu Kab Tak Mere Munh Ko Dhoota Rahega! Naaseh: Preacher |
Dil Se Rukhsat Hui Koi Khwahish; Giryaa Kuch Be-Sabab Nahi Aata! |
Ham Khudaa Ke Kabhi Kabil Hi Na The, Un Ko Dekha To Khudaa Yaad Aayaa! |
Baare Duniya Mein Raho Gham-Zada Ya Shaad Raho; Aisa Kuch Kar Ke Chalo Yahan Ki Bahut Yaad Raho! |
Ab Kar Ke Faramosh To Na'shaad Karo Ge; Per Hum Jo Na Hon Ge To Bahut Yaad Karo Ge! Translation: Na'shaad = Cheerless |
Sharminda Hon Ge, Jaaney Bhi Do Imtihaan Ko; Rakhe Ga Tum Ko Kon Aziz, Apni Jaan Se! |
Ab Jo Ik Hasrat-E-Jawani Hai; Umr-E-Rafta Ki Ye Nishani Hai; Khak Thi Maujzan Jahan Mein, Aur; Ham Ko Dhoka Ye Tha Ke Pani Hai! |