Ye Soch Ke Maa Baap Ki Khidmat Mein Laga Hun; Is Ped Ka Saaya Mere Bachchon Ko Milega! |
Tumhari Aankhon Ki Tauhin Hai Zara Socho; Tumhara Chahne Wala Sharab Peeta Hai! |
Ek Aansu Bhi Hukumat Ke Liye Khatra Hai; Tum Ne Dekha Nahi Aankhon Ka Samundar Hona! |
Tumhara Naam Aaya Aur Hum Takne Lage Raasta; Tumhari Yaad Aayi Aur Khidki Khol Di Humne! |
Barbaad Kar Diya Humein Pardes Ne Magar; Maa Sab Se Keh Rahi Hai Ki Beta Maze Mein Hai! |
Ab Judai Ke Safar Ko Mere Aasan Karo; Tum Mujhe Khwaab Mein Aa Kar Na Pareshan Karo! |
Ab Judaai Ke Safar Ko Mere Aasan Karo, Tum Mujhe Khwab Mein Aa Kar Na Pareshan Karo! |
Kisi Ko Ghar Mila Hisse Mein Ya Koi Dukaan Aayi, Main Sab Se Chota Tha Ghar Mein Mere Hisse Mein Maa Aayi! |
Itni Chahat Se Na Dekha Kijiye Mehfil Mein Aap, Shehar Walon Se Hamari Dushmani Badh Jayegi! |