Aaj Dekha Hai Tujh Ko Der Ke Baad; Aaj Ka Din Guzar Na Jaye Kahin! |
Apni Dhun Mein Rehta Hoon, Main Bhi Tere Jaisa Hoon; O Pichhle Rutt Ke Sathi, Ab Ke Baras Main Tanha Hoon! |
Judaiyon Ke Zakhm Dard-e-Zindagi Ne Bhar Diye; Tujhe Bhi Nind Aa Gayi Mujhe Bhi Sabr Aa Gaya! |
Yaad Aayi Wo Pahli Barish; Jab Tujhe Ek Nazar Dekha Tha! |
Dil Dhadakne Ka Sabab Yaad Aaya; Wo Teri Yaad Thi Ab Yaad Aaya! |
Main Sote Sote Kayi Baar Chaunk Chaunk Pada; Tamaam Raat Tere Pehluon Se Aanch Aayi! |
Woh Koi Dost Tha Achche Dinon Ka; Jo Pichhli Raat Se Yaad Aa Raha Hai! |
Muddat Se Koi Aaya Na Gaya Sunsaan Padi Hai Ghar Ki Faza; In Khali Kamron Mein 'Nasir' Ab Shama Jalaun Kis Ke Liye! |
Ai Dost Hum Ne Tark-e-Mohabbat Ke Bawajud; Mehsoos Ki Hai Teri Zaroorat Kabhi Kabhi! |
Aarzu Hai Ki Tu Yahan Aaye; Aur Phir Umar Bhar Na Jaye Kahin! |