Ye Ada-e-Be-Niyazi Tujhe Bewafa Mubarak; Magar Aisi Be-Rukhi Kya Ki Salaam Tak Na Pahunche! *Ada-e-Be-Niyazi: Air of carelessness |
Jaane Wale Se Mulaqat Na Hone Payi; Dil Ki Dil Mein Hi Rahi Baat Na Hone Payi! |
Shikwa-e-Iztirab Kaun Kare, Apni Duniya Kharab Kaun Kare; Gin To Lete Hain Ungliyon Pe Gunah, Rahmaton Ka Hisab Kaun Kare! |
Kabhi Taqdeer Ka Matam Kabhi Duniya Ka Gila; Manzil-e-Ishq Mein Har Gaam Pe Rona Aaya! |
Tum Phir Usi Ada Se Angdayi Le Ke Hans Do; Aa Jayega Palat Kar Guzra Hua Zamana! |
Tum Phir Usi Ada Se Angdayi Le Ke Hans Do; Aa Jayega Palat Kar Guzra Hua Zamana! |
Unhen Apne Dil Ki Khabren Mere Dil Se Mil Rahi Hain; Main Jo Un Se Rooth Jaun To Payam Tak Na Pahunche! |
Ab To Khushi Ka Gham Hai Na Gham Ki Khushi Mujhe; Be-His Bana Chuki Hai Bahut Zindagi Mujhe! *Be-His - Insensitive |
Main Bataun Farq Naseh Jo Hai Mujh Mein Aur Tujh Mein; Meri Zindagi Talatum Teri Zindagi Kinara! Naseh: Advisor Talatum: High Tide. Upsurge Of Waves |
Main Bataun Farq Naseh Jo Hai Mujh Mein Aur Tujh Mein; Meri Zindagi Talatum Teri Zindagi Kinara! Naseh: Advisor Talatum: High Tide, Upsurge Of Waves |