Un Ki Nazar Ke Saath Hi Saara Zamana Phir Gaya, Gardish-e-Chashm-e-Naaz Hai Gardish-e-Rozgar Kya; Bad-e-Khizan Ki Mauj Thi Ghuncha-e-Dil Ke Haq Mein Sam, Mausam-e-Gul Ki Bhi Hawa Hogi Na Sazgar Kya! * Gardish-e-Chashm-e-Naaz: Movement eyes of coquetry * Sazgar: Agreeable, favourable, |
Dard-e-Gham-e-Firaq Se Aankhen Hain Ashk-Bar Kya, Rone Se Hogi Mukhtasar Zahmat-e-Intezar Kya; Zakhmon Se Chuur Jo Na Ho Seena-e-Dagh-Dar Kya, Jis Mein Na Ho Hujum-e-Gul Kehiye Use Bahar Kya! |
Jis Ne Jala Ke Dil Mera Hijr Ki Shab Mita Diya, Shamen Jalane Aaya Hai Ab Woh Sar-e-Mazar Kya; Uth Gayi Jis Taraf Nazar Hashr Sa Ik Bapa Hua, Un Ki Nigah-e-Naaz Hai Fitna-e-Rozgar Kya! * Fitna-e-Rozgar: Mischievousness |