Yaar Sab Jama Hue Raat Ki Khamoshi Mein; Koi Ro Kar To Koi Baal Bana Kar Aaya! |
Ek Woh Hain Ki Jinhen Apni Khushi Le Doobi; Ek Hum Hain Ki Jinhen Gham Ne Ubharne Na Diya! |
Saja Rahega Andheron Se Hi Khandar Mera; Ek Ek Kar Ke Hua Khatam Ab Safar Mera! |
Is Zamane Ki Ajab Tishna-Labi Hai Ai 'Zafar'; Pyaas Us Ki Sirf Bujhti Hai Hamare Khoon Se! |
Main To 'Munir' Aaine Mein Khud Ko Taak Kar Hairan Hua; Ye Chehra Kuch Aur Tarah Tha Pehle Kisi Zamaane Mein! |
Dil Aur Shama Dono Barabar Hain Sokhta; Uthta Hai Kis Jagah Se Dhuan Dekhte Raho! *Sokhta: Burnt, Grieved |
Ek Majzoob Udasi Mere Andar Gum Hai; Is Samundar Mein Koi Aur Samundar Gum Hai! |
Log Nafrat Ki Fizaon Mein Bhi Jee Lete Hain; Hum Mohabbat Ki Hawa Se Bhi Dara Karte Hain! |
Ye Hasil Hai Meri Khamoshiyon Ka; Ki Patthar Azmane Lag Gaye Hain! |
Tera Ghuroor Mere Zabt Ka Sawaal Raha; Bikhar Bikhar Ke Tujhe Chahna Kamaal Raha! |