Us Ke Bachche Nahi Thakte Mujhe Mamu Kehte; Jis Ki Janib Mera Rujhan Tha Achha-Khasa! |
Babu-Giri Karte Ho Gaye Ali Ko Do Saal; Murjhaya Woh Phool Sa Chehra Bhure Paḍ Gaye Baal! |
Ali Ab Ke Kathin Pada Diwali Ka Tyohar; Hum Toh Gaye The Chaila Ban Kar Bhayya Keh Gayi Naar! |
Tujhe Paane Ke Liye Kuchh Bhi Kar Sakta Hu; Tere Pyaar Mein Jee Toh Kya, Mar Bhi Sakta Hu; Phir Bhi Tu Nahi Mili To Koi Mujhe Gham Nahi; Yeh Formula Kissi Dusri Pe Set Kar Sakta Hu! |
Aggar Manzil Ko Pana Hai To Hosla Sath Rakhna; Aggar Pyar Ko Pana Hai To Aetbar Sath Rakhna; Aggar Hamesha Muskurana Hay To Daant Saaf Rakhna! |
Dil Toota Hai Mera Par Ashk Nahi; Uss Ka Ehsaas Hai Par Woh Pass Nahi; Judaii Ka Dard Zaroor Hai Hum Ko; Lekin Itna Bhi Khaas Nahi! |
Ishq Mohabbat To Hazaaro Karte Hain; Gum Aur Judaai Se Sabhi Darte Hain; Hum To Na Ishq Karte Hain Na Mohabbat Bas; Dost Ki Ek Smile Ke Liye SMS Karte Hain! |
Dekh Kar Tumhari Hasi, Hum Hosh Apne Gawaan Baithe; Dekh Kar Tumhari Hasi, Hum Hosh Apne Gawaan Baithe; Hosh Mein Aane Ko The, Ki Tum Phir Se Muskura Baithe! |
Chali Jaati Hai Aaye Din Wo Beauty Parlour Mein Yu; Unka Maqsad Hai Misaal-e-Hoor Ho Jana; Magar Ye Baat Kisi Begum Ki Samajh Mein Kyun Nahi Aati; Ki Mumkin Hi Nahi Kishmish Ka Fir Se Angoor Ho Jana! |
Dosti Ke Afsaane Gaaynege Hum; Apni Ik Alag Duniya Basaayenge Hum; Jo Diya Bujh Gaya Dosti Ka Hawaaon Se; To Usko Bech Kar Philips Ka Bulb Le Aayenge Hum! |