Pucha Na Zindagi Mein Kisi Ne Bhi Dil Ka Haal; Ab Shehar Bhar Mein Zikar Meri Khudkushi Ka Hai! |
Humne Pyaar Nahi Ishq Nahi Ibaadat Ki Hai, Rasmon Se Riwazon Se Bagawat Ki Hai; Manga Tha Hum Ne Jise Apni Duaaon Mein, Usi Ne Mujh Se Juda Hone Ki Chahat Ki Hai! |
Koi Shai Ek Si Nahi Rehti; Umar Dhalti Hai Gham Badalte Hain! |
Tujhe Kaun Jaanta Tha Meri Dosti Se Pehle; Tera Husn Kuch Nahi Tha Meri Shayari Se Pehle! |
Bahane Aur Bhi Hote Jo Zindagi Ke Liye; Hum Ek Baar Teri Aarzoo Bhi Kho Dete! |
Farishton Se Bhi Achchha Main Bura Hone Se Pehle Tha; Wo Mujh Se Intihai Khush Khafa Hone Se Pehle Tha! |
Gair Ke Saath Kabhi Zikar Hamara Na Karein, Hum Ko Badnaam Karen Ishq Ko Ruswa Na Karein; Dil Ye Kehta Hai Muqaddar Hai Pareshan Rehna, Akal Kehti Hai Ki Hum Zulf Ka Sauda Na Karein! |
Hawa Ke Dosh Pe Rakhe Hue Chiragh Hain Hum; Jo Bujh Gaye Toh Hawa Se Shikayatein Kaisi! |
Tum Se Zazbaat The Jab Tum Hi Nahi, Phir Zamane Se Shikayat Na Rahi! |
Dhokha Tha Nigahon Ka Magar Khoob Tha Dhokha; Mujh Ko Teri Nazron Mein Mohabbat Nazar Aayi! |