Rote Hain Ab Wahin Tanha Baith Ke "Akash"; Jahan Sath-Sath Jeene Ke Khwab Dekhte The! |
Aisa Gham Na De Ki Kabhi Ro Bhi Na Sakun, Shab Kya Din Mein Bhi So Bhi Na Sakun; Pehle Hi Bahut Daag Hain Mere Daaman Mein, Aur Daagdar Na Kar Ki Dho Bhi Na Sakun! |
Aisa Gham Na De Ki Kabhi Ro Bhi Na Sakun, Shab Kya Din Mein Bhi So Bhi Na Sakun; Pehle Hi Bahut Daag Hain Mere Daaman Mein, Aur Daagdar Na Kar Ki Dho Bhi Na Sakun! |
Mera Haal-e-Dil Fir Mere Dil Mein Hi Rah Gaya; Ik Kagaz Pe Likha Tha Barsaat Mein Bhig Gaya! |
Lafz Bhi Jis Ahd Mein Kho Baithe Apna Aitbaar; Khamoshi Ko Iss Mein Kitna Motabar Maine Kiya! Lafz: Words Ahd: Period Motabar: Reliable, trustworthy |
Kuch Aur Bhi Hain Humein Kaam Aye Gham-e-Janan; Kab Tak Koi Uljhi Hui Zulfon Ko Sanwarey! |
Parda-e-Noor Banke Chhaye Hain, Aasuon Ki Tarah Machlate Khwab; Bistar-e-Dil Pe Khoon Uglate Khwab, Raat Bhar Karvatein Badlate Khwab! |
Na Jee Bhar Ke Dekha, Na Kuch Baat Ki; Badi Arzoo Thi Mulaqat Ki! |
Tujh Se Bichhad Kar Bhi Tera Paas Rehta Hun; Khuda Gawah Hai Main Bahut Udaas Rehta Hun! |
Tujhe Haq Diya Hai Maine Dillagi Ka Aye Sanam; Tu Mere Dil Se Khel Jab Tak Tera Dil Behal Na Jaye! |