Humain Khabar Hai, Hawaa Ka Mizaaj Rakhte Ho; Magar Yeh Kya, Ke Zara Dair Ko Rukey Bhi Nahin! |
Yoon Bhi Hota Hai Ki Yak Dam Koi Achha Lag Jaye; Baat Kuch Bhi Na Ho Aur Dil Mein Tamasha Lag Jaye! |
Khoobiyan Itni To Nahi Hum Mein Ki Tumhein Kabhi Yaad Aayenge Lekin, Itna To Aitbar Hai Humein Khud Par Ki Aap Kabhi Bhool Nahi Payenge! |
Tumhein Dekhna To In Aankhon Kee Zaroorat Si Hai; Tumhein Chahna To Is Dil Kee Ibaadat Si Hai; Phir Bhi Na Jaane Kyon Hain Hamare Darmiyan Ye Dooriyan; Shayad Khuda Ko Bhi Is Mohabbat Ka Imtihaan Lene Ki Aadat Si Hai! |
Taluqaat Mein Aisi Rawadari Bhi Na Ho; Mile To Mil Lena, Bichhde To Yaad Bhi Na Karna! |
Kabhi Yeh Dua Ki Usse Mile Jahan Kee Khushiyan; Kabhi Yeh Khauf Ki Woh Khush Mere Baghair Toh Nahi! |
Baat Unchi Thi Magar Baat Zara Kam Aanki; Usne Jazbaat Ki Aukaat Zara Kam Aanki; Woh Farishta Keh Kar Mujhe Zaleel Karta Raha; Main Insaan Hun, Meri Jaat Zara Kam Aanki! |
Badalne Wale Toh Har Cheez Badal Dete Hain; Kamaan Se Nikla Teer Badal Dete Hain; Tum Toh Mere Chaar Aansu Na Badal Sake; Badalne Wale Toh Taqdeer Badal Dete Hain! |
Mere Pyaar Ki Wo Inteha Puchte Hain; Dil Mein Hai Kitni Jagah Puchte Hain; Chahte Hain Hum Unko Khud Se Zyada; Iss Chahat Ki Bhi Woh Wajah Puchte Hain! |
Nazar Mein Shokhiyan Lab Par Mohabbat Ka Fasaana Hai; Meri Ummeed Ki Zad Mein Abhi Saara Zamaana Hai; Kayi Jeete Hain Dil Ke Desh Par Maloom Hai Mujhko; Sikandar Hoon Mujhe Ik Roz Khaali Haath Jaana Hai! |