Jee Chahta Hai Tum Se Pyaari Si Baat Ho; Haseen Chand Tare Ho, Lambi Si Raat Ho; Fir Raat Bhar Yahi Guftagu Rakhein Hum Dono; Tum Meri Zindagi Ho, Tum Meri Kayinat Ho! |
Teri Hasrat Ka Khwab Bankar Tujh Mein Utar Jaun; Teri Deewangi Ka Raaz Bankar Us Mein Basar Jaun; Koi Deewar Na Ho Jis Mein Rehbaser Ki; Aise Ghar Ki Dar-O-Deewar Main Ban Jaun! |
Jee Chahta Hain Tum Se Pyari Si Baat Ho; Haseen Chand Tare Ho, Lambi Si Raat Ho; Fir Raat Bhar Yhi Guftagu Rakhe Hum Dono; Tum Meri Zindagi Ho, Tum Meri Kayinat Ho! |
Meri Hai Hasarat, Tu Khushiyon Mein Rahe Sada; Yehi Hai Meri Dua, Vidaa Ho Nafarat Aur Pyar Rahe Sada! |
Mana Ki Pyaar Kisi Ka Mere Paas Nahi, Magar Tumhein Meri Mohabbat Ka Ehsaas Nahi; Jane Pee Gaye Hum Kitne Ghum-e-Aansu; Ab Kuch Aur Peene Kee Pyaas Nahi! |
Pyaar Karo To Hamesha Muskura Ke; Kisi Ko Dhokha Na Do Apna Bana Ke; Kar Lo Yaad Jab Tak Hum Zinda Hain; Phir Na Kehna Ki Chale Gaye Dil Mein Yaadein Basa Ke! |
Duniya Mein Itni Rasmein Kyon Hain; Pyaar Agar Zindagi Hai To Ismein Kasmein Kyon Hain; Humein Batata Kyon Nahi Koi Ye Raaz; Dil Agar Apna Hai To Ye Kisi Aur Ke Bas Mein Kyon Hai! |
Woh Inkar Karte Hain Ikrar Ke Liye; Nafrat Bhi Karte Hain To Pyaar Ke Liye; Ulti Chaal Chalte Hain Yeh Ishq Karne Wale; Aankhein Band Karte Hain Deedar Ke Liye! |
Tapakti Hai Nigahon Se, Barasti Hai Adaaon Se; Mohabbat Kaun Kehta Hai Ke Pehchaani Nahi Jati! |
Hum Ko Maloom Nahi Chahat Ke Taqaze Lekin; Hum Ne Teri Baaton Ke Siwa Har Baat Bhula Rakhi Hai! |