Thehri Thehri Si Zindagi Kyon Hai, Meri Aankhon Mein Ye Nami Kyon Hai; Jis Ko Aankho Se Door Rakhna Tha, Aaj Qurbat Mein Phir Vahi Kyon Hai! |
Kuch Aansu Ro Lene Ke Baad Nazar-e-Khwab Ho Gaya, Main Tum Ko Yaad Karte Karte Gehri Neend So Geya; Ragen Lakiren Ho Gayi Masam Nuqte Ban Gaye, Badan Tumhari Yaad Mein Huruf-e-Nazm Ho Geya! |
Dard-e-Gham-e-Firaq Se Aankhen Hain Ashk-Bar Kya, Rone Se Hogi Mukhtasar Zahmat-e-Intezar Kya; Zakhmon Se Chuur Jo Na Ho Seena-e-Dagh-Dar Kya, Jis Mein Na Ho Hujum-e-Gul Kehiye Use Bahar Kya! |
Ashk Khunab Ho Chale Hain, Gham Ki Rangat Badal Chali Hai; Ya Yun Hi Bujh Rahi Hain Shamen, Ya Shab-e-Hijr Tal Chali Hai! |
Kaise Kaise Sitam Uthaye Hain, Zakhm Kha Kar Bhi Muskuraye Hain; Ashk Aankhon Mein Dabdabaye Hain, Ya Sitare Se Jhilmilaye Hain! |
Samandar Mein Utarta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain, Teri Aankhon Ko Padhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain; Tumhara Naam Likhne Ki Izazat Chin Gayi Jab Se, Koi Bhi Lafz Likhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain! |
Aaj Tak Daman Na Bheega Tha Bhigona Pad Gaya; Kis Ne Kis Ka Saath Chhoda Hai Ki Rona Pad Gaya! |
Kisi Ki Aankh Mein Aansu Humein Pasand Nahi; Dilon Ke Zakham Dikhane Ki Zidd Nahi Karte! |
Shayad Meri Nazar Mein Ashkon Ka Qafila Hai; Kuch Saaf Dikh Na Paaye Sab Kuch Dhuan Dhuan Hai! |
Tumhara Naam Likhne Ki Izazat Chhin Gayi Jab Se; Koi Bhi Lafz Likhta Hun To Aankhein Bheeg Jaati Hain! |