Hum Hain Sookhe Hue Talaab Pe Baithe Hue Hans; Jo Taalluq Ko Nibhate Hue Mar Jaate Hain! *Taalluq: Relation |
Kya Zaroori Hai Ke Hum Haar Ke Jeetien Tabish; Ishq Ka Khel Barabar Bhi To Ho Sakta Hai! |
Hum Hain Sukhe Hue Talab Pe Baithe Hue Hans; Jo Talluq Ko Nibhate Hue Mar Jate Hain; Ye Mohabbat Kee Kahani Nahi Marti Lekin; Log Kirdar Nibhate Hue Mar Jate Hain! |
Pani Aankh Mein Bhar Kar Pani Aankh Mein Bhar Kar Laya Ja Sakta Hai; Ab Bhi Jalta Shehar Bachaya Ja Sakta Hai; Ek Mohabbat Aur Woh Bhi Nakam Mohabbat; Lekin Iss Se Kaam Chalaya Ja Sakta Hai; Dil Par Paani Peene Aati Hain Umeedien; Iss Chashme Mein Zeher Milaya Ja Sakta Hai; Mujh Gumnaam Se Puchte Hain Farhaad-o-Majnoon; Ishq Mein Kitna Naam Kamaya Ja Sakta Hai; Yeh Mehtab Yeh Raat Kee Peshani Ka Ghav; Aisa Zakham To Dil Par Khaya Ja Sakta Hai; Phata Purana Khwaab Hai Mera Phir Bhi 'Tabish'; Iss Mein Apna Aap Chupaya Ja Sakta Hai! |