Hothon Pe Kabhi Unke Mera Naam Hi Aaye; Aaye Toh Sahi, Bar-Sar-e-Ilzam Hi Aaye! |
Jo Chirag Saare Bujha Chuke Unhein Intezar Kahan Raha; Ye Sukun Ka Daur-e-Shadeed Hai Koi Beqarar Kahan Raha! |
Har Ek Harf-e-Aarzoo Ko Har Ek Harf-e-Aarzoo Ko Dastan Kiye Hue; Zamana Ho Geya Hai Un Ko Mehaman Kiye Hue; Suroor-e-Aish Talkhi-e-Hayat Ne Bhula Diya; Dil-e-Hazin Hai Bekasi Ko Hijr-e-Jaan Kiye Hue; Kali Kali Ko Gulistan Kiye Hue Wo Aayenge; Wo Aayenge Kali Kali Ko Gulistan Kiye Hue; Sukoon-e-Dil Kee Raahton Ko Un Se Maang Loon; Sukoon-e-Dil Kee Raahton Ko Bekaran Kiye Hue; Wo Aayenge To Aayenge Junoon-e-Shauq Ubharne; Wo Jayenge To Jayenge Tabahiyan Kiye Hue; Main Un Kee Bhi Nigah Se Chhupa Ke Un Ko Dekh Loon; Ki Un Se Bhi Hai Aaj Rashk Badguman Kiye Hue! |
Shaayad Abhi Hai Raakh Mein Shaayad Abhi Hai Raakh Mein Koi Sharaar Bhi; Kyon Varna Intezar Bhi Hai Iztiraar Bhi; Dhyaan Aa Geya Hai Marg-e-Dil-e-Namurad Ka; Milne Ko Mil Geya Hai Sukun Bhi Qaraar Bhi; Ab Dhundne Chale Ho Musafir Ko Dosto; Hadd-e-Nigah Tak Na Raha Jab Gubaar Bhi; Har Aastaan Pe Nasiya Farsaa Hain Aaj Woh; Jo Kal Na Kar Sake The Tera Intezar Bhi; Ik Raah Ruk Gayi To Thee Thak Kyon Gayi 'Ada'; Aabaad Bastiyan Hain Pahadon Ke Paar Bhi! |
Badle To Nahin Hain Woh Dil-o-Jaan Ke Qarinay; Ankhon Ki Jalan, Dil Ki Chubhan Ab Bhi Wohi Hai! |