Fasle Aise Bhi Honge Ye Kabhi Socha Na Tha; Samne Baitha Tha Mere Aur Wo Mera Na Tha! |
Sar-e-Sehra Musafir Ko Sitara Yaad Rehta Hai; Main Chalta Hun Mujhe Chehra Tumhara Yaad Rahta Hai; Tumhara Zarf Hai Tum Ko Mohabbat Bhool Jati Hai; Humein To Jis Ne Hans Kar Bhi Pukara Yaad Rehta Hai; Mohabbat Mein Jo Doobaa Ho Use Sahil Se Kya Lena; Kise Is Bahaar Mein Ja Kar Kinara Yaad Rehta Hai; Bahut Leharon Ko Pakda Doobane Wale Ke Haathon Ne; Yahi Bas Ek Dariya Ka Nazara Yaad Rehta Hai; Sadayein Ek Si Yaksaniyat Mein Doob Jati Hain; Zara Sa Mukhtalif Jis Ne Pukara Yaad Rehta Hai; Main Kis Tezi Se Zinda Hun Main Ye To Bhool Jata Hun; Nahi Aanaa Hai Duniya Mein Dobaraa Yaad Rehta Hai! |
Zindagi Sirf Issi Dhun Mein Guzare Jayein; Bas Tera Naam, Tera Naam Pukare Jayein; Jab Yeh Tay Hai Ki Yahan Koi Nahin Aayega; Kis Ki Khatir Dar-O-Deewar Sanware Jayein! |
Aaj Us Ne Dard Bhi Apne Elhaada Kar Liye; Aj Bhi Roya Toh Mere Sath Woh Roya Na Tha! |
Dil Ajab Gumbad Dil Ajab Gumbad Ke Jis Mein Ik Kabutar Bhi Nahin; Itna Viran To Murdaron Ka Muqaddar Bhi Nahin; Dabati Jati Hain Mitti Mein Badan Ki Kashtiyan; Dikhne Mein Yeh Zamin Koi Samandar Bhi Nahin; Jitne Hangamein Thay Sukhi Tahaniyon Se Jhadd Gaye; Par Phal Bhi Nahin Angan Mein Patthar Bhi Nahin; Khushk Taahani Par Parinda Hai Ki Patta Hai Adeem; Ashiyana Bhi Nahin Jis Ka Koi Par Bhi Nahin; Jitni Pyari Hain Meri Dharati Jo Zanjirein Adeem; Itna Pyara Toh Kisi Dulhan Ko Zevar Bhi Nahin! |