Teri Talab Mein Jala Daale Aashiyaane Tak; Kahan Rahoon Main Tere Dil Mein Ghar Banaane Tak! |
Wafa Ke Baab Mein: Wafa Ke Baab Mein Ilzaam-e-Aashiqui Na Liya, Ki Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Liya; Khushaa Wo Log Ki Mehroom-e-Iltefaat Rahe, Tere Karam Ko Ba-Andaaz-e-Saadgi Na Liya; Tumhare Baad Kayi Haath Dil Ke Simat Barhe, Hazaar Shukar Girebaan Ko Hum Ne Si Na Liya; Tamaam Masti-o-Tishnaa-Labi Ke Hungame, Kisi Ne Sang Uthaya, Kisi Ne Meena Liya; 'Faraz' Zulm Hai Itni Khud Aitmaadi Bhi; Ki Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Liya! |
Kitna Aasaan Tha Tere Hizra Mein Marna Jaana; Phir Bhi Ik Umar Lagi Jaan Se Jaate Jaate! |
Ungaliyaan Aaj Tak Isi Soch Mein Gum Hain 'Faraz'; Usne Kaise Naye Haath Ko Thaama Hoga! |
Bahut Ajeeb Hai Ye Bandishein Mohabbat Ki 'Faraz'; Na Usne Qaid Mein Rakha Na Hum Faraar Hue! |
Jhele Hain Jo Dukh Tune 'Faraz' Apni Jagah Hain; Par Tum Pe Jo Guzri Hai Wo Auron Se Kam Hai! |
Dekh Mujhe To Tarq-e-Talluq Ke Baawzood; Woh Muskura Diya Ye Hunar Bhi Usi Ka Tha! |
Ranjish Hi Sahi: Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa, Aa Phir Se Mujhe Chhod Ke Jane Ke Liye Aa; Pehle Se Marasim Na Sahi Phir Bhi Kabhi Toh, Rasm-o-Rahe Duniya Hi Nibhane Ke Liye Aa; Kis-Kis Ko Batayenge Judaai Ka Sabab Hum, Tu Mujh Se Khafa Hai Toh Zamane Ke Liye Aa; Kuch To Mere Pindar-e-Mohabbat Ka Bharam Rakh, Tu Bhi Toh Kabhi Mujh Ko Manane Ke Liye Aa; Ek Umar Se Hun Lazzat-e-Giriya Se Bhi Mehrum, Ae Rahat-e-Jaan Mujh Ko Rulane Ke Liye Aa; Ab Tak Dil-e-Khushfaham Ko Tujh Se Hain Ummedein, Yeh Aakhiri Shammen Bhi Bujhane Ke Liye Aa; Mana Ki Mohabbat Ka Chipana Hai Mohabbat, Chupke Se Kisi Roz Jatane Ke Liye Aa; Jaise Tujhe Aate Hain Na Aane Ke Bahane, Aise Hi Kisi Roz Na Jane Ke Liye Aa! ~ Ahmad Faraz |
Dekh Mujhe Toh Tarq-e-Talluk Ke Baawzood; Wo Muskura Diya Yeh Hunar Bhi Usi Ka Tha! |
Itni Si Baat Pe Dil Ki Dhadkan Ruk Gayi 'Faraz'; Ek Pal Jo Tasavvur Kiya Tere Bina Jeene Ka! |