Aaj Ki Raat Bhi Tanha Hi Kati; Aaj Ke Din Bhi Andhera Hoga! |
Aakhir Dua Karen Bhi Toh Kis Mudda Ke Saath; Kaise Zameen Ki Baat Kahen Aasmaan Se Hum! |
Kaun Kehta Hai Ki Maut Aayi Toh Mar Jaun Ga; Main Toh Darya Hun Samandar Mein Utar Jaun Ga! |
Ajab Tzad Mein Kata Hai Zindagi Ka Safar; Labon Pe Pyaas Thi Badal The Sir Pe Chaye Hoye! |
Faqat Is Sah Mein Pahunchi Hain Hazaron Baatein; Main Tera Husn Tere Husn-e Bayan Tak Dekhon! |
Aakhir Dua Karein Bhi Toh Kis Mudaa Ke Sath; Kaise Zameen Ki Baat Kahein Aasman Se Hum! |
Ajab Tzad Mein Kata Hai Zindagi Ka Safar; Labon Pe Pyaas Thi, Badal The Sir Pe Chaye Hue! |
Apne Tevar Bhi Sambhaalo Ki Koi Ye Na Kahe; Dil Badalte Hain To Chehre Bhi Badal Jaate Hain! |
Jo Burai Mere Naam Se Mansoob Hui; Dosto, Kitna Bura Tha Mera Achha Hona! |
Gul Tera Rang Churaa Laye Hain Gulzaron Mein, Jal Raha Hun Bhari Barsaat Kee Baucharon Mein; Mujhse Katra Ke Nikal Ja, Magar Ai Jaan-e-Haya, Dil Kee Lau Dekh Raha Hun Tere Rukhsaron Mein; v Husn-e-Begana-e-Ehsaas-Jamaal Achhaa Hai, Gunche Khilate Hain To Bik Jaate Hain Bazaaron Mein; Jikr Karte Hain Tera Mujhse Ba-Unvaan-e-Jafaa, Charagar Phool Piro Laye Hain Talwaron Mein; Zakham Chhup Sakte Hain Lekin Mujhe Fan Hi Saugandh, Gham Kee Daulat Bhi Hai Shaamil Mere Shahkaron Mein; Mujhko Nafarat Se Nahi Pyaar Se Masloob Karo, Main To Shaamil Hun Mohabbat Ke Gunahwaron Mein! |