Ai Sab Se Awwal Aur Akhir, Jahan-Tahan, Hazir Aur Nazir; Ai Sab Danaon Se Daana, Saare Tavanaon Se Tavana! |
Sada Ek Hi Rukh Nahi Naav Chalti; Chalo Tum Udhar Ko Hawa Ho Jidhar Ki! |
Bahut Ji Khush Hua 'Hali' Se Mil Kar; Abhi Kuch Log Baaqi Hain Jahaan Mein! |
Ishq Sunte The Jise Hum Woh Yahi Hai Shayad; Khud-Ba-Khud Dil Mein Hai Ik Shakhs Samaya Hoya! |
Farishte Se Badh Kar Hai Insan Banna; Magar Is Mein Lagti Hai Mehnat Zyada! |
Hoti Nahi Qubool Dua Tarq-e-Ishq Kee; Dil Chahta Na Ho To Zubaan Mein Asar Kahan! |
Aage Bare Na Aage Bare Na Qissa-e-Ishq-e-Butan Se Hum; Sab Kuch Kaha Magar Na Khule Razdan Se Hum; Ab Bhaagte Hain Saya-e-Ishq-e-Butan Se Hum; Kuch Dil Se Hain Dare Hue Kuch Aasman Se Hum; Hanste Hain Us Ke Giriya-e-Beikhtiyar Par; Bhule Hain Baat Keh Kar Koi Razadan Se Hum; Ab Shauq Se Bigar Kar Batein Kiya Karo; Kuch Pa Gaye Hain Aap Kee Tarz-e-Bayan Se Hum; Jannat Mein Tu Nahin Agar Ye Zakhm-e-Teg-e-Ishq; Badlenge Tujhko Zindagi-e-Jawidan Se Hum! |
Janoon Kaar Farma Janoon Kaar Farma Hua Chaahta Hai; Qadam Dasht Paima Hua Chaahta Hai; Dam-e-Girya Yeh Kiska Tasawur Hai Dil Mein; Keh Ashkon Se Darya Baha Chaahta Hai; Khat Aane Lage Shikwa Aamez Unke; Milaap Un Se Goya Hua Chaahta Hai; Abhi Lene Paae Nahin Dam Jahan Mein; Ajal Ka Taqaaza Hua Chaahta Hai; Bahut Chain Se Din Guzarte Hain, Hali; Koi Fitna Barpa Hua Chaahta Hai! |